Tuesday, May 14, 2024
HomeIndiaShiv Nadar University mein MBA mein Scholarships ke sath dakhloun ka elaan

Shiv Nadar University mein MBA mein Scholarships ke sath dakhloun ka elaan

Hyderabad: Shiv Nadar University jo kay hama mazameen aur Research ke liye maroof University hai, Jis mein apne MBA programme mein dakheloun ka elaan kiya hai jaissa ke taleemi saal ka aaghaz July 2020 ku hoga. MBA mein dakhloun ke alawa is ne apne Under Graduate aur Doctorate Programme mein bhi dakheloun ke liye Online darkhwasten talabb ki hain jo kay 15 Feb se daakhil ki ja sakti hain.

Global Immersion Programme ke tehat MBA ki taleem faraham ki jaye gi aur University ke tehat 2.5 lakh Scholarships bhi faraham ki jarahi hai jis ke tehat talba London mein 3 haftoun ke liye khusoosi programme mein shirkat kar saktay hain jahan bain ul aqwami satah ke Guest Speaker aur Faculty Classes lenge. Darin asna Scholarship khalis merit ke tehat faraham ki jaye gi jis mein MBA ki sad feesad Tuition Fees ada ki jaye gi.

Is zimn mein yahan shehar mein munaqidah ek press conference se khitaab karte hue school of Management ke Director Dr Shubro Sen ne kaha hai ke Shiv Nadar University Managment Programme ke liye aala Faculties ki khidmaat haasil karne ke alawa aalmi satah ke Challenge ke pesh e nazar nisaab faraham karti hai. MBA ke alawa BUMS ke liye taleemi saal mein 7 nashistoun par dakhlay diye jarahay hain. Aisay talba jinhoun ne Bachelor degree mein 50% nishanaat haasil kiye hain aur CGPS ya is ke mumasil kisi bhi University ka imthehaan kamyaab kiya ho, Aisay talba jo kay saal aakhir ke nateeja ke bhi intzaar kar rahay hain wo bhi dakhla ke liye darkhwast day satke hain.

Dakhela ke liye CAT 2019, NMA 2019, XAT 2020, C-MAT 2020, ke alawa 2016 G-MAT ke nishanaat bhi qabil qubool hon ge. BUMS mein dakhela ke liye khawahish mand taalib ilm ka barven jamaat kamyaab honay ke alawa SNU, SAT aur Academic Professional Test mein kamyaab hona lazim hai jabkay PhD ki 10 nashistoun par bhi darkhwasten talabb ki gayi hain jis ke liye Post gradaution mein 60 feesad nishanaat ke alawa deegar imtehanaat ke nishanaat bhi zurori hain. Mazeed tafseelaat ke liye Website mulaheza kare sme.snu.edu.in.  –YTN STAFF