Shillong: Meghalaya ke sadar moqam Shillong ke 2 ilaqoun mein curfew mein 14 ghantoun ke liye narmi ki gayi hai, Jabkay guzashta 8 roz se unilaqoun mein mobile khidmaat aur Internet service moattal ki gayi hai. Zilai intizamia ke ek ohdedar ke mutabiq, East Khasi Hills ke zilai magistrate M. W. Nongbri ne charshumbe ke roz Lumdiengjri police station aur sadar police station ke tehat anay walay ilaqoun mein subah 6 baje se 14 ghantoun ke liye curfew mein narmi ka hukum jari kiya.
Ohdedar ne bataya ”Ahteyati ke tor par un dono thaana ilaqoun mein charshumbe ki shaam 8 bajey se phir curfew nafiz kar diya jayega. Tamam Bank, dukanain aur bazaar, Taleemi idaray khulay hain aur gadiyaan sadkoun par khadi hain. Wazeh hoke shehriat tarmeemi act ke khilaaf ehtijaj ke baad 11 decemeber ko Shillong aur is ke muzafati ilaqoun mein curfew nafiz kar diya gaya tha.
Wazeer Aala Secretariat ke ek aur Afsar ne bataya ke wazeer-e-aala Conrad K. Sangma ki sadarat mein mangal ko reyasti kabeena ne Inner line permit ( ILP ) Gorners ke tehat riyasat ko laane ki ek tajweez ko manzoori di.
Ohdedar ne bataya ”Cabina ki tajweez jumaraat ko reyasti Assembly ke ek roza khusoosi ijlaas mein pesh ki jayegi“.. Sangma ne guzashta haftay hukmaran Meghalaya Democritic Alliance ( MDA ) ke ek wafad ki qayadat ki aur markazi wazeer-e-dakhela Amit Shah se mulaqaat ki aur Meghalaya mein ILP muta-arif kar vane ka mutalba kiya. -YTN STAFF