Wednesday, April 24, 2024
HomeSliderShikast ke baad phir urooj ke liye KCR ka ijlaas

Shikast ke baad phir urooj ke liye KCR ka ijlaas

Hyderabad: GHMC intikhabaat mein BJP ke urooj aur TRS ke naaqis muzahiron ki wujuhaat ka tajzia karne ke liye muhasba ka aaghaz kardiya gaya aur is khusos mein reyasti chief minister KCR aur wazeer baldi nazam o nasq KTR ne intikhabi nataij par senior qaideen aur wuzra ke sath jaiza liya.

Hyderabad ke baldi intekhabaat mein raye dahi ke tanasub mein izafah ke bawajood TRS ke muzahirey umedon ke mutabiq nahi rahay. Greater Hyderabad mein pehli martaba BJP ne is qader zayed nishistain haasil ki hain jo BJP qaumi qaideen ki intikhabi muhim ka nateeja hai.

Musadeqa zaraye ke mutabiq intikhabaat mein shikast ki wujohaat ka jaiza lainay ke douran qayadat ko is baat ka shiddat se ehsas hai ke telangana mein congress aur TDP ke muaqqaf mein kamzoree ka faida BJP ne uthaya hai.

Saal 2014 mein alehda riyasat Telangana ke qiyam ke baad se Telangana mein TDP aur congress ka muaqqaf kamzor se kamzor tareen hua hai aur ab to ye do qadeem jamaten riyasat mein apni baqa ki jung ladh rahi hain aur 2018 ke assembly intikhabaat mein congress ke ticket par kamyabi haasil karne walay beshtar arkaan-e-assembly ne TRS mein shamoliat ikhtiyar karli hai.

Congress aur TDP se muntakhib arkaan assembly ke inhiraf ke nateeja mein TRS agarchay kaafi mazboot hui hai lekin TDP aur congress partiyon ke riwayati vote bank ko Raghib karne mein BJP kamyaab hochuki hai. TRS qaideen ka ehsas hai ke 2018 mein party ko wazeh aksariyat ke bawajood congress aur TDP se arkaan assembly ko inhiraf ke liye uksana ek siyasi ghalti thi jis ka khamyaza baldi intikhabaat mein bhughtna pada hai kyunkay agar Telangana mein congress aur TDP behtar muaqqaf mein hoti to BJP ko qadam jamanay ka mauqa nah milta. Hyderabad intikhabaat mein mukhalif hukoomat aur TRS se naraaz raye dahindon ke liye BJP ke ilawa koi mutabadil nahi raha jis ke nateeja mein TRS ke halqon se BJP ko kamyabi haasil hui hai .

jaiza ke douran note kiya gaya ke shehri ilaqon mein hukoomat ke khilaaf awaami narazgi mein izafah hochuka hai lehaza wajohaat ka pata chalanay ke liye arkaan assembly aur muqami qaideen ko mutharrak hona chahiye. TRS ke liye intikhabi surway ka kaam injaam dainay walay mahireen aur siyasi mubasireen ne bhi yahi nateeja akhaz kiya ke congress aur TDP ki kamzoree ka BJP ko faida hua aur woh Telangana mein TRS ke mutabadil ke tor par ubharna chahti hai. mubasireen ka maanna hai ke BJP ka hyderabad ke baldi intikhabaat mein jo muzahira raha woh riyasat bhar mein mumkin nahi hai lekin shayad yeh bhi anay walay dinon mein TRS ka aik ghalat andaza saabit hoga. shehri ilaqon mein BJP ka kidr hai jabkay dehi ilaqon mein aaj bhi congress aur TDP ke qaideen aur karkun kamzor haalat mein sahi mojood hain. TRS qayadat ko yeh ehsas shiddat ke sath honay laga hai ke secular jamaaton ko kamzor karne ke nateeja mein firqa parast BJP ko sir uthany ka mauqa mila hai.

Hyderabad ke nataij ke baad ab chief minister KCR ne Warangal aur khammam municipal karporishnon ke mujawaza intikhabaat ki hikmat e amli tayyar karne ki hidaayat di hai taakay dono karporishnon mein BJP ko behtar muzahira se roka jasakay. KCR ne hyderabad nataij ke silsila mein kayi siyasi mubasireen aur apne qareebi mushireoun se report talabb ki hai. 2018 assembly intikhabaat mein congress ke ticket par muntakhib honay walay taqreeban 12 arkaan assembly jabkay TDP ke 2 arkaan assembly ne inhiraf karte hue TRS mein shamoliat ikhtiyar karli thi jis ke baad se hi assembly mein oppostion ki aawaz kamzor hogayi. awam ko hukoomat ke khilaaf izhaar narazgi ke liye mutabadil ke tor par bhalt majboori BJP ka intikhab karna pada. nataij se is baat ka inkishaaf hua hai ke sarkari mulazmeen aur usaatzaa baradri hukoomat se naraaz hai jis ka izhaar sarkari mulazmeen ki janib se istemaal kiye gaye postal ballot se hota hai jis mein BJP ke haq mein vote diye gaye. hukoomat ne asaatzaa ko intikhabi duty se door rakha bawajood iske asaatzaa ki tanzeemon ki janib se hukoomat ke khilaaf raye dainay ki it-tila-aat milein.