Saturday, April 20, 2024
HomeJurmShekhar ka qatal, parveen begum aur Asif Qureshi ko Umar qaid ki...

Shekhar ka qatal, parveen begum aur Asif Qureshi ko Umar qaid ki saza

Hyderabad: Ek khatoon aur iske aashiq ke khilaaf sabiq Ashiq ki janib se harasani se tang aakar usay qatal karne ka ilzaam may Umar khaid ki saza sunayi gayi.

Takneeki aur scienci shawahid par inhisaar karte adalat ne dono mulzimon ko qasoorwar paaya aur Umar qaid ka faisla sunaya.

Parveen begum Aur Ahmed asif qureshi ne october 2018 mein mutwafi e Shekhar ko shad nagar mein apne maqam par bulaya, phir sab ne sharaab noshi ki jiske baad shekhar ko halak kardiya. adalat ne mulzimon par fi kas paanch hazaar rupay jurmana bhi aaed kiya.

Ibtidayi tor par parveen aur Shekhar ek saal se ziyada arsay tak taluqaat mein rahay thay aur yahan tak ke dono shadi karne ka iradah bhi rakhtay thay. Isi douran Qureshi parveen se waaqif hua, jab parveen ne Qureshi ke sath nazdeekiya badhana shuru kiya to Shekhar naraaz hua aur is ne parveen ko mutnabba kiya ke woh Asif se door rahay. taham jab asif aur parveen ka rishta aur bhi aage badh raha tha to Shekhar ne parveen ko harasan karna shuru kardiya, jis se woh aur Qureshi pareshan hogaye.

Jab yeh harasani batadreej badhti gayi to unhoun ne usay qatal karne ka faisla kiya, taakay woh shadi kar saken. mansoobay ke mutabiq, parveen ne Shekhar ko baat karne ke liye iske ghar bulaya, jahan is ne Qureshi ke sath milkar sharaab peenay par majboor kiya. Bhaari nashay mein aakar aur nasha aawar adwayat ke asar se shekhar be hosh hogaya. parveen aur Qureshi ne Shekhar ke galaay ko kaata aur usay maar dala aur wahan se faraar hogaye. baad azan inhen girftar karkay adalti tehweel mein bhej diya gaya. tafteesh ke douran police ne Shekhar ka aakhri cal record akhatta kya aur usay parveen aur Qureshi ke cal recardon ke sath milaya. unhon ne Qureshi ke qabza se qabal mein istemaal honay walay saman, churyon aur kapdon ko bhi haasil karliya tha jis par khon ke daagh the aur in dhabbon ko shekahr ke khoon ke dagoon ka DNA se mawazna  kiya. Muqadme ki samat ke douran adalat ne tamam shahid ki janch ki aur donoun mulziman ko is jurm may khusurwar paya aur umar khaid ka faisla sunaya.