Wednesday, May 15, 2024
HomeSportsShehzadi Reema International Olympic Committee ki rukan muntakhib

Shehzadi Reema International Olympic Committee ki rukan muntakhib

Lausanne: International Olympic Committee ne ijlaas mein shehzadi Reema  bint Bandar Al Saud ko Committee ka rukan muntakhib kiya hai. Website ke mutabiq committee ka ijlaas Switzerland ke shehar Lausanne mein huwa hai. Sadarat International Olympics Committee ke chairman Dr Thomas Bach ne ki. Is mauqa par Saudi Olympic Committee ke Chairman aur Khelo ke wazeer shehzada Abdulaziz bin Turki Al-Faisal bhi mojood thay. International Olympic Committee ki majlis Amila ne shehzadi Reema ka naam June mein rukniat ke liye pesh kiya tha.

Shehzada Abdalaziz Al Faisal neh International Olympic Committee ka rukan muntakhib honay par shehzadi Reema ko mubarakbaad di hai. unhoun neh ek Twit mein kaha ke main shehzadi Reema ko International Olympic Committee ka rukan muntakhib honay par mubarakbaad deta hon. Musalsal kamyabi o kaamrani ke liye meri naik tamannaye un ke sath hain.

Yaad rahay ke shehzadi Reema Bint Bandar un dinoun America mein Saudi Arab ki safeer ke tor par tainaat hain. Is se qabal wo sports public Authority ke chairman ki secretary bhi reh chuki hain. Is waqt general authority ko wizarat mein tabdeel nahi kiya gaya tha. Shehzadi Reema Saudi Olympic Organization ki chair person bhi reh chuki hain. Shehzadi Reema Bint Bandar Bin Sultan Shahi khandan ki pehli khatoon hain jinhein safeer tainaat kiya gaya hai. Shehzadi Reema is se pehlay tajir khatoon ke tor par apni salahiyaten manwa chuki hain.

Shehzadi Reema ko 2014 mein Forbes Magazine nay 200 taaqatwar Arab khawateen ki fehrist mein shaamil kiya tha. Un ka shumaar un khawateen mein hota hai jo apni misali karkardagi ki bunyaad par apni shakhsiyat ko manwati hain. Shehzadi Reema ko un ki khidmaat ke silay mein 2017 mein Mohammad Bin Rashid Al Maktoum Award se bhi nawaza ja chuka hai.