Friday, May 3, 2024
HomeIndiaShehriat Tarmeemi Qanoon ke khilaaf 29 January ko Bharat Band ka elaan

Shehriat Tarmeemi Qanoon ke khilaaf 29 January ko Bharat Band ka elaan

Hyderabad: Shehriat Tarmeemi Qanoon ke khilaaf sara Hindustan saraapaa ehtijaj hai aur har riyasat mein mukhtalif tanzeemein apne tour par apne apne banner taley ehtijaj kar rahi hain lekin ab 29 January ko is kalay qanoon ke khilaaf Bharat Band ka elaan kiya gaya hai. Bahujan Kranti Morcha ki janib se shehriat tarmeemi qanoon ke ilawa NPR aur NRC khilaaf Bharat Band ka nah sirf elaan kiya gaya hai balkay tamam Hindostanyoun se darkhwast ki gayi hai ke wo is Band ko kamyaab banatay hue apni aawaz hukumat tak sakht alfaaz mein pohanchanay ke ilawa aalmi media aur arbab majaz ki tavajja bhi apni janib mabzol karwane ki darkhwast ki hai.

Bahujan Kranti Morcha ke mujawaza Bharat Band ke zimn mein jari kardah ek video pegham mein kaha gaya hai ke 20 December 2019 ko pehla bada ehtijaj 500 azlaa mein munazzam kiya tha jis ke baad 8 January ko mukhtalif azlaa mein 500 rallies ka ihtimaam kiya tha jis mein 2 hazaar taa dhai lakh tak awam naay shirkat ki thi. Teesray marhalay mein ab 29 January ko Jogendra Nath Mandal ki yom-e-paidaiesh ke mauqa par Bharat Band ka elaan kiya gaya hai aur usay kamyaab bananay ki mulk bhar ki har tanzeem se darkhwast ki gayi hai.

Is video pegham mein Maulana Sajjad Nomani ne kaha ke shehriat tarmeemi qanoon sirf musalmanoun ke khilaaf nahi hai balkay ye musalmanoun ke sath SC ST aur aur BC ke khilaaf bhi hai. CAA ke zareya hukoomat darj fehrist afraad ke bhi khusoosi ikhtiyarat ko khatam karne ki koshan hai.

Yaad rahay ke chand din qabal hi Azamgarh mein zila Magistrate ke zareya 10 nakati mutalibaat ka ek Memorandum Bahujan Kranti Morcha ke zair e ahtemam kalay qanoun NRC aur aayeen mukhali CAA qanoon ke khilaaf mulk bhar mein marhala waar tehreek ke tehat sadar ko rawana kiya gaya. Is douran Bahujan Kranti Morcha ne 29 January ko Bharat Band ka elaan kiya, Jisay kamyaab bananay aur muzahireen tak maqasid ko pounchanay ke liye har tanzeemoun ki himayat haasil karne ki koshish ki jarahi hai.

Banda Bandi ke darmain zilai Headquarters mein Collateral Office mein muzahira karne walay afraad, Bharat Mukti Morcha, Bahujan Mukti Party, Bhartia Kisaan Morcha, Bhartia Vidhartia Morcha, Indian Lawyer Association, Indian Medical Association jaisi tanzeemoun ne shirkat ki. Sadar hind ku arsaal kardah yaad dasht mein NRC ki fehrist se bahar hojane waloun ko dobarah shehriat mein shaamil karna, CAA qanoon ko mansookh karne ke sath sath un qawaneen ki wajah se mulk mein badamni ke zimma daaroun ke khilaaf qanooni karwai karne ka mutalba bhi shaamil hai. Farzi muqadmaat mein phansay hue be gunah afraad ke khilaaf darj muqadma ki wapsi jaisay mutalibaat bhi shaamil hain.

Bharat Band on 29 Junuary 2020

EVM par bhi pabandi ka mutalba
Bahujan Kranti Morcha ki janib se shehriat tarmeemi qanoon ko wapas lainay aur NRC ke ilawa NRP ko khatam karne jaisay mozuaat ke sath 29 January ko Bharat Band ke liye jari kardah video mein EVM machines par bhi shadeed tanqeed ki gayi aur intikhabaat mein un mushtaba machines ke istemaal par pabandi ka bhi mutalba kiya ja raha hai.Mana jaraha hai ke BJP aur is jaisi zafrani zehniat ki jamaatoun ko ye yaqeen hai ke awam aur mulk ke sath kaisa bhi khilvad karlo wo EVM machines ke zareya apna Iqtidaar barqarar rakh sakti hai lehaza un mashkook machines ka intikhabaat mein istemaal band karne ka mutalba kiya ja raha hai. –YTN STAFF