Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaShehriat Tarmeemi Act ka Hindustan mein basnay walay musalmanoun se koi talluq...

Shehriat Tarmeemi Act ka Hindustan mein basnay walay musalmanoun se koi talluq nahi: Shahi Iman

New Delhi: Markazi hukoomat ke mutanazia qanoon shehriat tarmeemi act ( CAA ) ko leker jahan dar-ul-hukoomat Delhi sameit mulk ke deegar hissoun mein sakht ehtijaj kiya jaraha hai. Wahein shehriat tarmeemi act ke hawalay se Delhi ki Jamia Masjid ke Shahi Imam Syed Ahmed Bukhari ne logoun se kaha hai ke wo apne jamhoori haq ka muzahira karen, Lekin is douran is par pabandi lagani chahiye. Is ke sath unhoun ne kaha ke ” Shehriat Tarmeemi Act ka hindustan mein basnay walay musalmanoun se koi talluq nahi hai. Unhoun ne ye bhi kaha ke NRC abhi qanoon nahi bana hai.

Shehriat Tarmeemi Act ke khilaaf mulk ke mutadid collegeon mein muzahirey ho rahay hain. Is qanoon ke tehat Pakistan, Afghanistan aur Bangladesh se anay walay ghair muslim muhajreen ko shehriat di jayegi. Mukhalfin aur oppostion jamaatoun ka kehna hai ke, Ye qanoon musalmanoun ke sath imtiazi sulooq karta hai aur mazhab ki buneaad par shehriat dena aeen ke manafi hai.

Shahi Imam Syed Ahmed Bukhari ne mangal ke roz apne ek bayan mein kaha ke ”Muzahera” Hindustan ke awam ka jamhoori haq hai, Koi bhi cheez hamein aisa karne se nahi rok sakti. Lekin, Ye bhi zurori hai ke is douran aitdaal pasandi se kaam lena chahiye aur apne jazbaat par qaboo rakhna chahiye. Iske ilawa unhoun ne kaha ke’ Shehriat tarmeemi qanoon ka hindustan mein basnay walay musalmanoun par koi asar nahi padega. Isse Pakistan, Afghanistan aur Bangladesh ke mohajir mutasir honge.

Shahi Iman ne mazeed kaha ke ” Shehriat  tarmeemi act aur NRC mein farq hai. Shehriat tarmeemi act hai, Jo qanoon ban gaya hai aur dosra NRC hai, Jis ka abhi abhi elaan kiya gaya hai. Shehriat ke qanoon ke tehat, Pakistan, Afghanistan aur Bangladesh se anay walay musalman muhajreen hindustan ki shehriat nahi lesakenge. Is ka hindustan mein basnay walay musalmanoun se koe talluq nahi hai.

Wazeh hoke, Shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj ke douran, Mangal ke roz Delhi ke ilaqay selampur aur Jafferabad mein par tashadud waqea runuma huwa. Police ne is muamlay mein kal 3 FIR darj ki hain. Police ne is muamlay mein 6 afrad ko giraftar kiya hai. Aur deegar logoun ki giraftari ke liye chaapay maaray jarahay hain.

Iske ilawa itwaar ke roz Jamia Millia Islamia ke talba aur police ke mabain tassadum huwa. Is douran police par pathrao kiya gaya, Jawabi karwai mein police ne talba hamza muzahireen par lathi charge kiya aur ansoo gas ke shall chhodey gaye jismen kayi talba zakhmi hogaye. –YTN STAFF