Friday, May 10, 2024
HomeHyderabadShehar mein Hostels band honay ke baad Police Stations ke baher aawam...

Shehar mein Hostels band honay ke baad Police Stations ke baher aawam ki taweel qatarain

Hyderabad: Coronavirus ke khilaaf mulk geer lockdown ne hazaroun nojawanoun ke liye ek nai uljan peda kardi, Jis mein talba, Takneeki aur deegar khangi mulazmeen shaamil hain, Kyunkay Hostel aur deegar rahaish ki sahuliyaat band hogayen aur oh sadkoun par nekalne par majbor hugaye hain. Shehar ki ye sorat e haal jis ne mutasirah afraad ko pooray shehar mein Police Stations ke rubaroo taweel qatarain laganay aur Police ki madad talabb karne ke liye majaboor kardiya hai. Shehar ke Hostels band honay aur deegar rehaishi sahuliyaat ko khatam karne ke baad bil akhir Police ne ek aisa hal nikala jut alba aur deegar afraad ko Telangana mein apne aabadi ilaaqoun mein jany mein madad faraham kere ga. Is ke liye Police ki janib se ek waqt ka Pass faraham karna shuru kiya jis ke zareya deegar maqamat ke afraad jo ke shehar Hyderabad mein phansay huve hain inhen apne aabadi maqamat tak rasai haasil hogi.

Taham Police ke Director General M Mahender Reddy ne kaha ke Lockdown ke pesh e nazar, Awaami hifazat ke majmoi mafaad mein agli Notice tak riyasat mein logoun ki naqal o harkat ke liye koi ijazat ya NOC jari nahi ki jaye gi. Unhoun ne kaha ke agar Hostels awam ko rahaish faraham karne mein nakaam rahay to Hostel ke intizamaa ke khilaaf sakht karwai ki jaye gi. DGP ne tamam Inspectors, ACP aur DCP se mutaliqa GHMC ohdedaroun ke sath Hostels ke arbab majaz se mulaaqaaten karne aur ehkamaat ko yakeeni bananay ki bhi hidaayat di hai.

Qabal azeen Hyderabad Police ne 3000 se zayed talba, IT mulazmeen aur deegar khangi mulazmeen ko tanha ek waqti Pass jari kiya tha, Jabkay Rachngunda aur Cyberabad Police ne bhi qareeb itni hi Pass jari kiye hain. Ohdedaroun ne kaha ke wajohaat ki haqeeqat, Chahay darkhwast dahinda haqeeqat mein kharcha rahay they un ke Pass jari honay se qabal un ki sahet ki haalat ki tasdeeq ki gayi.

Ye masla is waqt shuru huva jab Hostel intizamia ne rahaishioun ko wahan se naqal makani par zor dena shuru kiya aur rahaish ki sahuliyaat band honay se aur baher Hotel band honay ke sabab nojawanoun aur mulazmeen ko Police ke Pass jaany ke siwa koi charah nahi bacha tha. Is se sheher mazafati ilaaqoun ke Police Stations ke samnay taweel qatarain nazar ayen jin mein Panjagutta, SR Nagar, Jubilee Hills, Banjra Hills, Kokatpally, KPHB, Madhupur, Uppal, LB Nagar aur Gachibowli qabil zikar hain.

Police ne Pass jari karne se pehlay un se aadhar ki tafseelaat aur apni manzil maqsood ka rehaishi saboot faraham karne mutalba kiya. Rai Durg ke Inspector Ravinder ne kaha hum un ki darkhwast ki sachaai ki tasdeeq kar rahay hain. Zaraye ne kaha ke jabkay 3 hazaar se ziyada afraad Cyberabad Police ke Pas puhanche, Jabkay 2 hazaar ke qareeb afraad ne Rachagunda Police se rujoo kiya. West Zone ke Joint Commissioner of Police AR Srinivas ne kaha ke ye Pass sarhad paar karne walay logoun ki terhan they. Unhoun ne kaha ke shehar mein wapas rehne ke khawahish mand afraad ke liye rahaish ke intizamaa kiye jayen ge.

Is se qabal, Bohat saaray talba aur mulazmeen ne kaha ke wo apne samaan ke sath Hostel khaali karne par majaboor hain. Prasad, Jo ek mashhoor Bakery mein kaam karte hain aur Amberpet ke ek khangi Hostel mein qiyam pazeer hain, Ne kaha ke 15 April tak Hostel ki Fees ada karne ke bawajood inhen Hostel khaali karne ka hukum diya gaya. Jab mein ne apne baqi ki raqam talabb ki to Hostel ke maalik ne adaigi se inkaar kardiya aur mujh se behas ki. Ab, mein tu apne aabadi maqam jana chahta hon.

SR Nagar mein muqeem ek aur taalib ilm M Rakesh ne Police se darkhwast ki ke wo ya to rahaish faraham kere ya apne aabadi shehar pounchanay ke liye naqal o hamal ka intizam kere. Unhoun ne kaha mein Nizamabad mein hi rehta hon aur Police se darkhwast karta hon ke wo mujhe apne maqam par pounchanay ki ijazat day. Unhoun ne kaha, bohat saaray nojawanoun ne, Police se barah e raast rujoo karne ke alawa, Telangana ke DGP se bhi madad ka mutalba karte huve Twit kiya. -YTN STAFF