Wednesday, May 15, 2024
HomeHyderabadShehar mein Face Mask ki qillat aur kala bazari, Hyderabadi bachiyoun ne...

Shehar mein Face Mask ki qillat aur kala bazari, Hyderabadi bachiyoun ne apne Mask khud banaliye

Hyderabad: Coronavirus jis ne China mein tabahi machane ke baad Hindustan ko bhi apni dehshat ki zad mein le liya hai jabkay Hindustan mein sab se pehlay Delhi aur Telangana mein Coronavirus ke mareezoun ki tasdeeq huvi aur chand dinoun mein hi is virus se mutasir honay walay afraad ki tadaad darjanoun mein poanch chuki jabkay Telangana mein is wabai virus se mutasirah shakhs ka Gandhi Hospital mein ilaaj kiya ja raha hai.

Hyderabad mein jaisay hi Coronavirus ki khabrain aam honay lagi awam mein ek qisam ka khauf bhedne laga hai aur mahireen ki janib se ahteyati tadabeer par tawajjah markooz karne ka mashwara diya jaaney laga. Ahteyati tadabeer mein chehra ka naqaab ( Face Mask ) ke istemaal par zoor diya ja raha hai. Face Mask ke istemaal par jaisay hi zoor diya jaaney laga hai is ki kala bazari urooj par poanch gayi hai.

Aam dinoun mein koi is Mask ku pooch kar nahi daikhta tha aur oh 5 taa 7 rupiye mein farokht hotay they ab wo 50 rupiye taa 600 rupiye mein farokht ho rahay hain. Ek janib jahan Hyderabad mein Medical Shops walay Mask ko mann maani qeematoun mein farokht kar rahay hain aur kala bazari ko taqwiyat day rahay hain to doosri janib School ki talbat apni Teachers ki madad se apna Mask khod hi tyaar karahi hain. Media numainda se guftagu karte huve Medicover Fertility  Hospital HITEC City ki Center Manager  Musarrat Sadiqa ne kaha ke jaissa hi Hyderabad mein Coronavirus ke mareezoun ki tasdeeq honay lagi to yahan HITEC City ke ilaqoun mein Face Mask ki qeemat achanak 600 rupiye kar di gayi. Dawakhane ke Regional Head Shakeel Qureshi, Medical Director Dr. Alia aur Dr Nancy ne Face Mask ki is kala bazari par shadeed barhami ka izhar kiya aur usay mushkil waqt mein awam ko lotney ki insaaniyat se giri huvi harkat qaraar diya hai.

Face Mask ki ahmiyat mein izafah hotay hain Hyderabad mein is ki kala bazari bhi urooj par poanch gayi hai aur Schools mein talba ko khusoosi Mask pehan kar aane ki hidaayat di jarahi hai jis ki wajah se Schools ke un nanno ke liye Mask ka husool mushkil hogaya hai lekin is mushkil waqt mein Udbhav School Secunderabad mein zair taleem panchwen jamaat ki Taliba Aisha Mamoon ne apni Teacher Humma Lata ke sath Handicraft Class mein di jaanay wali Training ka faida uthatay huve apna Mask khud tyar kar liya. Aam noiyat ki ashya ke istemaal se is taliba ne apni ektaraayi salahetoun ka muzahira karte huve apna Mask khud tyar kar liya hai jo kay tasweer mein mulahiza bhi kiya ja sakta hai.

Aisha ki walida Farhat ne kaha ke beti ki is koshish se wo kaafi khush hain kyunkay Handicraft ki mashq ke douran aksar Aisha ko ghar mein kaghzaat, Kenchi, Basta, Kitaboun aur deegar samaan ko bekhair dainay ki wajah se daant thappad khana padta tha lekin ab wo is Mask ki tayari ke baad apni badi behan Ramisha Mamoon ke sath mil kar mazeed Masks bananay ki khwaahan hain taakay wo apni jamaat ki sathiyoun aur Teachers ko tohfay mein ye zurori aur ehteyati cheez dainay ke alawa inhen bhi aisay Mask tayyar karnay ki targheeb day rahi hain.

Yaad rahay ke is waqt shehar mein kayi aqsam ke Face Mask mil rahay hain jin mein bunyadi tarz ka Mask gharoun mein istemaal honay wali ashya se bhi tayyar kiya jasakta hai jis ke behtareen fawaid na sahi lekin ye kisi qader mun aur naak ke rastay Gems ke jism mein daakhil honay ke khadsha se shehrioun ko zehni sukoon to faraham kar saktha hai. –YTN STAFF