Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadShehar ki sadkain aur Flyovers ghair mehfooz kyun?

Shehar ki sadkain aur Flyovers ghair mehfooz kyun?

Hyderabad: Guzashta 2 haftoun ke douran Bio-Diversity Flyover Bridge par 2 khatarnaak hadsaat runuma hue hain jabkay guzashta raat to awam ne wo khatarnaak manzar dekha hai jo kay aksar filmoun may afsanwi andaaz se bataya jata hai. Flyover se tez raftaar surkh rang ki Car hawa may oodti hui darakht par ja giri jis se ek khatoon halaak aur kayi afraad zakhmi hue hain. CCTV Camera ke zareya is saaray haadsay ki jo Film bandi hui is kee mukhtasir Clips Social Media par jungle ki aag ki terhan phail gay.

Un hadsaat ki wajah se Hydraabadi awam ke zehnoun may ye sawal peda ho raha hai ke shehar ki sadkain aur Flyovers ghair mehfooz to nahi hain? Bus ke intezaar may khaday awam ko ab ye khadsha darane laga hai ke kahin Flyover par se guzarti koi tez raftaar Car un par na gir pade lekin ibtidayi tehqiqati Reports ke samnay anay aur unka tajuzyati mutalea karne ke baad ye nateeja akhaz kiya ja sakta hai ke un hadsaat may kahin nah kahin insani la parwahi ne khildi rule ada kiya hai

Flyover se Car ke neechay karne ke haadsa ke baad City Police ki janib se jari kardah tafseelaat may ye inkishaaf huwa hai ke Bio-Diversity Flyover Bridge par gadiyoun ki azam tareen raftaar ki had 40 Kilometer fi ghanta muqarrar ki gayi hai lekin haadsa ki shikaar Car ki raftaar 104 Kilomter darj ki gayi hai jabkay karoun ke mahireen is ki raftaar ko 104 Kilometer fi ghanta maan-ne se inkaar karte hue kaha ke CCTV may jo manazair deekhaee day rahay hain is se andaza hota hai ke Car ki raftaar aur bhi ziyada mehsoos horahee hai.

Car ki tez raftaar ne na sirf ek zindagi ki pishqadmi ko rok diya hai balkay kayi aur ki jaanen ko bhi khatray may daal diya hai. iske ilawa guzizshta dinon isi Flyover par ek aur haadsa ki wajah bhi insani ghaltioun ka nateeja hai jahan chand afraad may Bridge par ruk kar Selfie ka shoq poora kar rahay they jis ke baad woh zindagi may koi aur kaam hi nahi kar paye halank Police aur intizamia ne sakht intibah diya hai ke aisay maqamat par rukna mout ko dawat dainay ke mutradif hai. aeye din Flyovers ke ilawa tank Bund par honay walay hadsaat may insani ghaltioun ka numaya kirdaar raha hai

City Police ne aaj ek gashti nama jari karte hue awam ko mashwara diya hai ke wo Flyover par safar se qabal is par ayad pabandioun aur sharait se aagah ho jaien jis se wo khud ki aur dosaroun ki jaan ke liye museebat na ban saken. yaad rahay ke Flyover ke haadsay ke chand ghantoun ke andar hi tank Bund aur Tadbun par honay walay hadsaat ki Videos musalsal Whatsapp aur Social Media ki deegar Websites gasht kar rahi hain jinhein dekhnay ke baad ye aasani se kaha ja sakta hai ke un hadsaat may logoun ki laparwai ne ahem kirdaar ada kiya hai. –YTN STAFF