Tuesday, May 21, 2024
HomeHyderabadShehar ki Flyovers Race Track may tabdeel, gariyaan bhagane ka shoq insani...

Shehar ki Flyovers Race Track may tabdeel, gariyaan bhagane ka shoq insani jaanu ka dushman

Hyderabad: Cyberabad Traffic Police ke mutabiq haftay ke roz Bio-Diversity Flyover par khufnaak haadsa tizraftari ki wajah se pesh aaya aur is haadsay se 6 din qabal Flyover par raftaar ki muqarara hadd se ziyada raftaar ke 550 muqadmaat darj kiye gaye. Sarkari-e-adaad-o-shumaar ke mutabiq rawan saal 31 October tak riyasat may khilaaf wazioun ki fehrist may tez raftaar ke waqeat sare fehrist hain.

Riyasat bhar ke Drivers ke khilaaf apni gadiyaan muqarara raftaar se ziyada badha kar chalane ke liye herat angaiz tor par 8,96,092 muqadmaat darj kiye gaye hain aur un par challan bhi jari kiye hain. Police ne un khilaaf warzi karne waloun par aed jurmane ke zareya 72.51 Crore Rupay ki majmoi aamdani haasil ki hai hakkaam ke mutabiq Traffic Police Drivers ko hadsaat ki rokk thaam ke liye raftaar ki had ke mamool par amal pera hone ki Salah dene ke bawajood un may se beshtar apni khwashisaat ke mutabiq gaadi dora rahay hain aur qawaneen ki khilaaf warzi kar rahay hain. hakkaam ne kaha ke Bio-Diversity Flyover par jo haadsa pesh aaya is may Foxvagon Car ki raftaar 104 Kilometer fi ghanta Record ki gayi hai jabkay is Flyover par ziyada se ziyada raftaar ki had 40 kilometer fi ghanta hai.

Cyberabad Deputy Commissioner of Police ( Traffic ) SM Vijay Kumar ne kaha ke gadiyon waloun ko sab ke mafaad may Traffic qawaneen par amal karna chahiye. Unhoun ne kaha jab bhi koi Sign Board nazar aata ho jis may raftaar ki had ka ishara hota hai to is ki pabandi karna Driver ki zimma daari hoti hai. ziyada tar Car Driver Outring Road ( ORR ) par intebahaat ko nazarandaz karte hue intahi tez raftari se gaadi chala rahay hain aur un may se kuch ko 180 Kilometer fi ghanta ki raftaar se ziyada ki raftaar se bhi ziyada gaadi chillatay hue paaya gaya hai jis se wo apni aur doosroun ki jaan ko khatray may daal rahay hain.

Ohdedaroun ne mazeed kaha ke qaumi aur riyasati shaahrahoun par tadriban yahi sorat-e-haal hai. Police Motor Vahicle ( MV ) qanoon ki daf-aat ke tehat tez raftaar gadiyaan chalane ke muqadmaat darj kiye jarahay hain aur har ek se ek hazaar Rupay jurmana wusool kiya ja raha hai. Traffic ke mahireen ne kaha hai ke reyasti aur qomi Shah raahoun par sadak Engineering may naqais hi bunyadi wajah they jo haadsat ka baais bane.

JNTU Civil Engineering shoba ke Professor KM Lakshmana Rao ne kaha ke sadak bichene ke baad oprational bahaali ki pareshani ki wajah se bohat se haadsat runuma ho rahay hain. Unhoun ne mazeed kaha ke intelligent Transport System ko tafseeli mutalay ke baad muta-arif karwaya jana chahiye. –YTN STAFF