Hyderabad: Shehar Hyderabad mein corona ki jaanch baday pemana par jari hai. Kisi mein bhi alamaat payi jati hain to wo Antigen Test karwa sakte hain. District medical officer nay ye baat bataaye. Unhoun ney Hyderabad mein corona ki rokk thaam ke liye kiye jaane walay iqdamaat se media ko waaqif karwaya aur kaha ke har Primary health Center main Antigen jaanch ke intizamaa kiye gaye hain.
Filhal 65 marakaz mein aisi jaanch ki jarahi hai. Unhoun ne kaha kay Home Isolation ki sahoolat nah honay par hukoomat ki janib se Isolation ki khidmaat faraham ki jarahi hain. Nature Care Ayurvedic Hospital mein bistaroun ki dasteyabi ki tafseelaat se bhi unhoun ney waaqif karwaya. Unhoun ney kaha kay shehar Hyderabad mein filhal 11,705 afraad ko gharoun mein allag thalag rakha gaya hai. Unhoun ney kaha kay ab tak 16,600 afraad jo gharoun mein allag thalag rakhay gaye they, Robah sahet hogaye hain. Unhoun ney kaha ke gharoun mein allag thalag rakhay gaye afraad mein medical Kits ki bhi taqseem amal mein layi jara hi hai.