Monday, May 20, 2024
HomeHyderabadShehar Hyderabad ke Osmania Hospital moqafful kar di gayi

Shehar Hyderabad ke Osmania Hospital moqafful kar di gayi

Hyderabad: Shehar Hyderabad ki qadeem saqafati virsa ki haamil imarat aaj moqafful kar di gayi. Director sehat aama nay qabal azeen ek Circular Superintendent ke naam jari karte hue un se khwahish ki thi ke wo mareezoun ko muntaqil karne ke baad qadeem imarat ko moqafful kar dein aur aaj ye qadeem imarat moqafful kar di gayi.

Wazeh rahay ke ye Osmania Hospital hukoomat ki janib se chalaya jaaney walay baday Hospitals mein se ek hai aur ye imarat apne mein tareekh rakhti hai. 1168 Bistaron walay is mashhoor hospital ki qadeem imarat sabiq riyasat Hyderabad ke aakhri farman rawa Nawab Mir Osman Ali Khan ney taamer karwai thi aur is ko 1910 mein awam ke liye khola gaya tha. Hospital ki qadeem imarat haal hi mein serkhiyoun mein rahi kyunkay shehar Hyderabad mein huvi barish ke baad sewarej aur barish ka pani imarat ke andar wards mein daakhil hogaya tha jis ke aglay din tamam mareezoun ko pehli manzil muntaqil kiya gaya tha. Samjha jata hai ke hukoomat is qadeem imarat ku munhidam karte hue is ki jagah nai imarat taa-meer karna chahti hai.