Hyderabad: Shashtipuram ke ilaqay mein Owaisi Hills ke rahaishioun ne ek ehtijaj karte huve yahan mojood tamam Units ko band karne ka mutalba kiya. Rahaishioun ka ilzaam hai ke Factories ne apne darwazoun par bazahir kufal laga diya hai lekin andar kaam ho raha hai jabke sab se sangeen qadam to ye hai ke in Units mein raat ke auqaat mein Plastic jalaaye jarahay hain jis se dhuwan nikalta hai jo saans mein takleef ki wajah ban raha hai. Shashtipuram Owaisi Hills ki rehaishi. Zeenat Begum neh kaha hum neh un Units ke khilaaf mutadid shikayaat darj kee aur ho sakta hai ke ohdedaroun neh din ke auqaat mein muaina kiya hoga lekin kuch unit raat ke auqaat mein kaam kar rahay hain aur plastic jala rahay hain jo ke yahan ke awam ke liye sar dar bana huwa hai. Units mein raat ke auqaat mein jalai jaanay wali plastic se jo dhuwan kharij ho raha hai wo saans band kar raha hai aur is takleef ki wajah se neend nahi hoparahi hai
Unhoun ne mazeed kaha ke wo markazi dakhli darwazoun ko band rakhtay huve unit ke uqbi hissay se daakhil hokar apni sargarmia jari rakhay huve hain. Badbudar dhuwan puure ilaqay mein bhar jata hai. Bad bo gandagi se bhari hawa ki wajah se buzurag aur bachay theek se saans nahi le satke hain. Unhoun ne kaha ke ye units hamaray rehne ke haqooq par daaka dala hai. Shashtipuram colony aur is ke aas paas rehaishi ilaaqoun mein aloodgi phelanay wali san-atoun ko band karne ka mutalba zor pakadney laga hai.
Shashtipuram colony ke rehaishi Syed Shaukat Ali ne kaha GHMC ohdedaroun ne kuch Units ke khilaaf karwai ki hai. Chuuti Units ko band karna aur baday ko chhodna qattan durust nahi hai. GHMC ne notice dainay ke baad 3 June ko Shashtipuram colony mein 100 se zayed ghair qanooni Units ko meher band kardiya. Shashtipuram ke ander aur colony ke qareeb mojood kuch unit ab bhi sargaram hain jo yahan ke awam ko sukoon se saans bhi lainay nahi day rahay hain.