Thursday, April 25, 2024
HomeHyderabadSharmeela ki nai party aur Telangana ke musalmanoun ki hikmat-e-amli

Sharmeela ki nai party aur Telangana ke musalmanoun ki hikmat-e-amli

Hyderabad: Telangana mein reyasti intekhabat 2023 mein honay walay hain lekin abhi se har koi apni apni tayari mein lag chuka hai yahi wajah hai ke mutahidda Andhra Pradesh ke sabiq cheif minister Anjhani YS Rajshekhar Reddy ki beti YS sharmeela ne Telangana mein ilaqai jamaat ke aaghaz ka ishara day diya hai sharmeela ki janib se Telangana mein nai party ke qiyam ki it-tila-aat guzashta chand hafton se gasht kar rahi hain aur un it-tila-aat ko taqwiyat mili kyunkay sharmeela ne hyderabad mein waqay un ke makaan lotne poundharin Aneel ki mojoodgi mein unke waalid ke hamion ke sath ek ijlaas munaqqid kya.

Samjha jata hai ke unhon ne Telangana ke liye apni khud ki nai siyasi jamaat ke qiyam ke silsila mein un qaideen ke sath unke waalid Raj shekhar Reddy ke qareebi doston aur chahanay walon ke sath tafseeli mushawarat ki. sharmeela ne is ijlaas mein kaha ke riyasat mein fil haal Rajjan Rajyam, nahi hai yani unke waalid ne riyasat mein jis tarhan ki hukoomat ki thi woh hukoomat nahi hai jo ke ke awam aur ghareebon ki hukoomat thi. riyasat mein is raaj (hukoomat) ko laane ki zaroorat hai. Is ke liye woh aayi hain. Sharmeela ka maanna hai har kisaan ko ek badshah ki tarhan zindagi guzarnay ki haq hai. Har ghareeb ka khud ka pakka makaan hona chahiye jo Raj Shekhar reddy ka khawab tha. Har ghareeb ko behtar taleem aur behtar mulazmat dilana unka khawab tha. Ghareebon ko munasib Tibbi ilaaj ki sahoolat fraham karne ke liye hi unke waalid ne Aarogyashree scheme ka aaghaz kiya tha lekin aaj is sahoolat ki aisi sorat-e-haal nahi hai. Isi liye un ki khwahish hai ke Rajan rajyam dobarah layajaye aur unhen yaqeen hai ke yeh un hi se mumkin hoga.

Raj shekhar Reddy ke hamion ki badi tadaad is mauqa par jama hogayi thi jinhon ne nai party ki it-tila-aat par jashnn manaya. Un mein josh wa-kharosh bhi dikhagya. Sharmeela jo Andhra Pradesh ke mojooda cheif minister YSR congress party ke sarbarah YS jagan mohan Reddy ki behan hain, unki janib se talab kardah is ijlaas ke mauqa par unke makaan par lagaye gaye flexi board mein jagn ko koi jagah nahi di gayi.

Aisa pehli martaba hua hai ke sharmeela ne is tarah ka koi ijlaas talabb kiya hai aur iss martaba lotus pound  per jo kit outs lagaaye gaye the un may unke bhai chief minister AP jagan mohan reddy ko koi tasweer nazar nahi aayi jis se un andeshoun ko taqiwat milti hai ke telangana may jo sisyasi jamat khayam ki jane wali hai uski mukammal zimmedar sharmeela hogi.

Zaraye ke mutabiq Riyasat mein 2023 mein honay walay 119 rukni assembly ke intikhabaat se pehlay sharmeela is riyasat ki siyasat mein qadam jamana chahti hain. Mutahidda AP ki taqseem ke baad Telangana ko riyasat ka muaqqaf dainay wali congress Telangana mein nuqsaan ki shikaar hogayi hai kyunkay is ke kayi arkaan-e-assembly aur ahem rehnuma riyasat ki hukmain meaay TDP ka asar aahista aahista khatam hotajaraha hai. Doosri taraf sharmeela ke bhai jagan aur asal opposition TDP ke sarbarah Chandrababu ne apni siyasi sar garmion ka markaz, Andhra Pradesh ko bana liya jiski wajah se telangana may un dinoun jamatoun ka wajood hi khatrah may hai.

Sharmeela ki nai party se Telangana mein siyasi mahol aur bhi karvatein lega aur khaas kis musalmanoun ke liye hikmat-e-Ilmi tayyar karne ka waqt bhi hoga. Telangana mein musalman birsir-iqtedar TRS aur chief minister KCR ke wadon se tang aachukay hain lekin unki majboori hai ke woh TRS daman is liye nahi chod sakte kyunkay congress aur TDP mein ab dam nahi raha aur agar musalmanoun ke sath aqlitin deegar parties ka rukh karte hain to voton ki taqseem se firqa-parast BJP ke haath mazboot hojaienge. Un tamam halaat mein Telangana mein musalmanoun ki hikmat-e-amli ahem hogi.