Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadShamshabad taa Hitec city metro rail, Real Estate ki taraqqi ka imkaan

Shamshabad taa Hitec city metro rail, Real Estate ki taraqqi ka imkaan

Hyderabad: Shamshabad mein international airport ki aamad ki umeed mein awam ne zaminoun ki kharidari aur makanaat ki taamer is umeed si ki thi airport se yahan Real Estate ko taraqqi mileygi. Do dahe qabal jab Shamshabad mein RGI airport ke qiyam ka elaan hua tha to uss waqt Real Estate ke kayi idaray aur infiradi tor par awam ne yeh soch kar Real Estate shobay mein sarmaya kaari ki thi ke inki janib se mashgool kiye janey walay sarmaya ka behtareen nateeja bar-aamad hoga lekin Shamshabad mein international airport anay ke bawajood jis tarhan ki Real Estate aur Zameenat ke shoba mein fawaid ki umeed ki gayi thi woh haasil nahi hue lekin ab iss shoba ko ek nai zindagi milsakti hai kyun ke RGI airport se mind space junction tak hyderabad metro rail khidmaat ke mansoobay ko aakhri marahil mein daakhil kardiya gaya hai.

Shamshabad airport ke qiyam ke sath hi yahan ke ilaqay dekhte hi dekhte ahmiyat ke haamil honay ki jo umeed ki gayi thi woh mukammal nah honay ki wajah se kayi afraad ko nah sirf mayoosi hui balkay aaj tak bhi wahan kayi araziyat behtar qeematon ki Adam dasteyabi ki wajah se jon ki ton mojood hai. iss zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue Telangana Real Estate developer association ( TREDA) ke Sridhar reddy ne kaha hai ke metro rail ke project se yahan ki taraqqi iss liye mumkin hai kyun ke airport aur hawai safar ke baraks metro rail zindagi ke bunyadi shobo aur aam awam se jari hoti hai.

Ab umeed ki jarahi hai ke chunkay Hitec city mein mojood darjanon multinational companiyon mein mulaazmaten anjaam dainay walay senkdon afraad ko Hitec city, GachiBowli aur deegar ilaqon mein mehngay tareen rehaishi akhrajaat ke bar-aks unhein Shamshabad mein moujooda akhrajaat se 3 guna kam mein rehaishi ilaqay Shamshabad mein dastyab hojaienge, iss nazriya ke tehat Shamshabad mein halaat badalne ki umeed ki jarahi hai.

Shamshabad taa Hitec city 21 kilometer ke faaslay par faraham ki janey wali hyderabad metro rail khidmaat ko haqeeqi roop mein dhalnay ke liye paanch saal ka waqfa to darkaar hai lekin ab jabkay hukoomat ki janib se is project ko hari jhandi dikhaaye janey ki jo umeed ki jarahi hai uss se Shamshabad mein zameenat aur rehaishi makanaat ke shoba mein taraqqi ke imkanaat roshan hue hain. –YTN STAFF