Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadShamshabad mein 4 naye Flyovers ki taamer, Musafireen ki Airport ki Parking...

Shamshabad mein 4 naye Flyovers ki taamer, Musafireen ki Airport ki Parking tak raast rasai yakeeni

Hyderabad: Rajive International Airport ( RGIA ) jane walay loog jald hi PVNR Express way ke baad kisi Signal par ruke baghair Airport ke liye seedhay ek hi rastay se jasakte hain jis ki wajah wo sirf 20 Minute mein hi Airport par poanch satke hain kyunkay Shamshabad mein is rastay par ek nahi balkay 4 Flyover ki taamer jari hai. Un Flyovers ki taamer mukammal honay ke baad Motor sawaar PVNR Express way se shuru honay walay 27.2 kilo Meter taweel faaslay ke ekhtataam par Airport ki parking mein poanch satke hain. Jabkay isi rastay par filhaal taqreeban 45 minute lagtay hain.

Professor Jay Shankar Telangana State zarayi University, Gaganpahad, Kantedan aur Shamshabad mein taamer ki jane wali Flyover ki taamer ke liye wizarat Road Transport and High ways ki taraf se mukhtas 300 crore rupiye istemaal kiye jayen ge. University, Gaganpahad aur kantay daan mein 3 Flyover ki taamer 6 mah mein mukammal hojaye gi jabkay Shamshabad mein anay walay 1.2 kilometer taweel Elevated flyover ko kam az kam ek saal lageye ga. Roads and Building ( Rand B ) Engineer un Chief ( National High Ways ) I Ganpatti Reddy ne un tafseelaat ko pesh kiya hai.

Kaam ki jald takmeel ke liye mehakma R and B sirf wizarat ke araazi ke husool mein muawnat kar raha hai. Is mansoobay ke sang bunyaad san 2018 mein rakha gaya tha. Markazi wazeer Transport Nitin Gadkari ku Chief Minister K Chandrashekhar Rao ki taraf se darkhwast ke baad ye Funds faraham kiye gaye they.

Reddy ne kaha ye mansoobah 2020 mein mukammal hona tha. Taham araazi ke husool mein takheer ki wajah se tamirati kaam mukammal nahi ho saka. Flyover ko is andaaz mein Design kiya gaya tha ke University, Gaganpahad, Kantedan aur Shamshabad ke qareeb ke ilaqoun se anay walay Moter cycles ko Shamshabad mein National High Way 44 par markazi sadak se Airport aur Bangloru ko milaane wali saddak ka rukh ikhtiyar karne ki zaroorat nahi hai balkay wo sirf Service sadkoun ke zariye hi Airport ka rukh karpayen ge. R and B ke ohdedaroun ne kaha ke mansoobay ki jald takmeel ke liye chand mazhabi dhanchay ko muntaqil karne se mutaliq umoor ko hal karne ki koshishen jari hain. –YTN STAFF