Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsSham mein Israel ki bombari, Iran nawaz jangju halaak

Sham mein Israel ki bombari, Iran nawaz jangju halaak

Damascus: Sham mein insani haqooq ke liye kaam karne walay group Syria Observatory ki report ke mutabiq Hama  shehar ke nawahi ilaqay mein Israeli jungi tayyaroun ki bombari ke nateejay mein kam se kam 9 jangju halaak hogaye. Halaak honay waloun mein 4 jangjoyon ka talluq Sham aur 5 ka dosray mulkoun se bataya jata hai. 

Al-Marsad ki taraf se jari kardah ek bayan mein kaha gaya hai ke Israeli tayyaroun ki bomb baari se halaak honay waloun mein 4 Shami jangju Shamil hain taham ye wazeh nahi ke aaya wo Shami fouji hain ya Civil jangju hain. Halaak honay walay 5 jangjoyoun ki shanakht nahi hosaki.

Zaraye ne kaha hai ke bombari ke nateejay mein mutadid jangju zakhmi huve hain jin mein se baaz ki haalat khatray mein bataaye jati hai. Insani haqooq ke tajzia nigaar  Rami Abdel Rahman ne kaha ke Hama ke maghrib mein Israeli bambaar tayyaroun ne ek defence factory aur zameen se zameen par maar karne walay missiles ke ek Science markaz ko nishana banaya. Bombari ka nishana banaye jane walay marakaz Shami fouj ke zair e intizaam hain.

Ilawa azeen Sham ki sarkari news agency Sana ki report ke mutabiq Hama mein ek ghair mulki fazai hamlay ko paspaa kardiya gaya. Sana ki report mein kaha gaya hai ke tayyaroun ki madad se mutadid sarkari tansibat ko nishana banaya gaya. Shami fouj ney is hamlay ko roknay ke liye bharpoor jawab diya hai taham is ki mazeed tafseel samnay nahi aayi. Israeli hamlay mein Sham mein ek science tehqeeqi markaz ko nishana banaya hai. Israel ka daawa Iran Sham mein qaim un science marakaz mein missile aur deegar asleha tayyar kar raha hai. –YTN STAFF