Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderShakib par ayed pabandi khatam, Fitness test ke liye tayyar

Shakib par ayed pabandi khatam, Fitness test ke liye tayyar

Dhaka: Bangladesh ke tajurbahkar All Rounder Shakib Al Hasan ko satta bazoo se raabtey se mutaliq maloomat nah dainay par ayed ek sala pabandi khatam hogayi hai aur woh ab Fitness test mein shareek hon ge. Bangladesh Cricket Board ( BCB ) ne Shakib par ayed pabandi khatam karne ke baad elaan kiya hai ke Shakib 9 November ko honay walay Fitness Test mein hissa len ge taakay woh Bangladesh ke aindah doray ke ahal hon.

Shakib ne International Cricket Council ( ICC ) ki taraf se ayed ek sala pabandi se mutaliq baat karte hue kaha ke is pabandi ne un ki zindagi ke baray mein khayalat ko tabdeel kardiya aur inhen is waqt par afsoos nahi hai jo unhoun ne Cricket se daur reh kar guzaara.

Shakib par 1 saal ki pabandi mukammal hogayi hai aur oh 29 October se Cricket khailnay ke ahal hain. Shakib ne apne YouTube channel par sawal-o-jawab ke douran kaha kay mere khayaal mein is pabandi ne meri madad ki hai aur misbet simt mein madad di hai. Is douran mere liye bohat se darwazay khol diye gaye thay aur mein zindagi ke baray mein kisi aur terhan se soch sakta hon. Mujhe is 1 saal se koi afsos nahi hai.

Unhoun ne kaha ke mujhe nahi maloom ke mujhe kahan se himmat mili lekin jab mujhe pabandi ki ittila mili to mein mukammal tor par dang reh gaya aur phir bhi mujhe laga ke zindagi ne mujhe dosra mauqa faraham kiya hai. Apne aap ko tayyar karne ke liye mere paas 1 saal hai aur jab mein wapas aoon ga to mujhe usay dobarah saabit karne ki zaroorat hai. All Rounder ne kaha ke un ke khilaaf muqadma ke douran tehqiqaat ka daur un ke career ka sab se khofnaak waqt tha. Shakib pehlay hi ICC ki pabandi se bakhoobi waaqif thay aur jante thay ke un tak baat pahonch sakti hai.

Unhoun ne kaha ke World Cup ke douran muzahira karna bohat challenging tha kyunkay ICC ki Anti Corruption aur Security Unit mujh se mustaqil tor par pooch gach kar rahi thi aur yeh mere liye bohat hi pareshan kin sorat-e-haal thi. Sonay se pehlay raat ko acha nahi lagta tha. Mujhe mehsoos ho raha tha ke kuch hojaye ga aur kabhi kabhi mein ne socha ke kuch nahi hoga. Woh waqt jab mein tafteesh se guzar raha tha bilkul acha nahi tha. BCB ne darasal faisla kiya hai ke November. December mein honay walay T20 Tournament ke liye mumkina khiladion ko muqablay ke liye laazmi Fitness Test se guzarna huga yahi wajah hai Shakib Al Hasan bhi ab Fitness Test den ge.