Lords : Bangladesh ki team mutasir kan khel paish karne ke bawajood world cup ke group marhaly mein hi bahar hogayi lekin Shakib Al Hasan ney apni umdah karkardagi se shaiqeen ke dil jeetnay ke sath sachin Tendulkar ka aalmi record bhi Todh dia. aalmi number ek all rounder ney world cup ke douran apni shohrat ke sath bharpoor insaaf karte hue behtareen batting ke ilawa umdah batting ka bhi muzahira kiya.
32 sala all rounder ney world cup ke 9 matchon mein 2 centuries aur 5 nisf centuries ki madad se 606 runs banaye aur 10 wickten bhi haasil kee. Shakib Al Hasan world cup mein 600 runs bananay walay teesray batsman ban gaye hain jahan unse qabal yeh aizaz sirf do khiladion ko haasil tha. Australia ke Mathew Hayden ney 2007 world cup mein 659 jabkay master blast Sachin Tendulkar ney 2003 world cupp mein 673 runs banaye they.
Shakib ney is umdah karkardagi ki badolat sachin ka ek world record barabar aur dosra todh dia. Shakib ney event mein majmoi tor par 7 nisf centuria score kee aur is tarha Tendulkar ka yeh munfarid aalmi record barabar kar diya jaisa keh sachin ney 2003 world cup mein yeh karnaama anjaam diya tha. taham unhon ney is karkardagi ki badolat sachin ka ek aalmi record se mahroom kardiya jo unhon ney 2003 world cupp mein hi banaya tha.
Shakib ney world cup ke group matches ke douran tamam 606 runs score kiye aur is tarhan woh kisi bhi world cup ke ibtidayi marhaly ke matches mein sab se ziyada runs bananay walay khiladi ban gaye hain. unse qabal is aizaz ke maalik sachin the jinhoun ney 2003 world cupp ke round matches mein 586 runs banaye they. –YTN STAFF