Monday, May 20, 2024
HomeSliderShakib al Hasan ki satta-baz se chat, ICC e manzar-e-aam per...

Shakib al Hasan ki satta-baz se chat, ICC e manzar-e-aam per pesh kardi

Dubai : International cricket council ( ICC ) ne satta bazoun ki janib se raabtey ki ittila faraham na karne par Bangladeshi super star all rounder Shakib Al Hasan par 2 saal ki pabandi aaed kardi aur Shakib ki satta bazoo se guftagu ki chand batiyaa manzar-e-aam par aagai hain.

Shakib Al Hasan se mubayyana tor par Deepak Agarwal ne rabita kiya tha taakay woh team ki androoni maloomat khusosan match ke ahwaal ke baray mein kuch jaan sakay.

Deepak ne Shakib se pehli martaba November 2017 mein Bangladesh premier league ke douran rabita kiya tha jahan woh dhaka diamonds ki numaindagi kar rahay they. all rounder ke aik qareebi dost ne unka number deepak ko diya tha aur deepak ne is namaloom shakhs se Bangladesh premier league mein shareek deegar khiladiyoun ke naam aur number bhi mange they. phir doosri martaba January 2018 mein Bangladesh mein seh mulki series ke douran rabita kiya gaya jis mein Srilanka aur Zimbabwe ki teams bhi shareek theen.

January ki 19 ko khele gaye match mein Bangladesh ne Srilanka ko shikast di thi aur is match ke behtareen khiladi ka award Shakib ko hi mila tha jis ki mubarakbaad dene ke liye deepak Agarwal ne inhen ek paegham bheja aur iske baad ek aur mutanazia message bheja jisne ICC ke anti corruption unit chowkanna kardiya. is paegham mein kaha gaya tha ke kiya hum is par kam kar sakte hain ya mein Indian Permier League ( IPL ) tak intezaar karoon.

Is pegham mein kaam se morad androoni maloomat theen jo Shakib ne mazkoorah satta baz ko faraham karni theen lekin satta baz ki janib se is raabtey ke baray mein all rounder ne anti corruption unit ya apne board o team mein mutaliqa hukkaam ko aagah nahi kiya. is muamlay ki sangini ka anti corruption unit ko yaqeen is waqt hua jab 4 din baad Agarwal ne Shakib ko ek aur paegham bheja ke bhai is series ke baray mein koi baat? lekin is martaba bhi Bangladesh ke moujooda T20 captain ne mutaliqa hukkaam ko andheray mein rakha.

Isi saal April mein Indian Permier League mein sunrisers Hyderabad ki numaindagi karne walay Shakib ne Kings eleven Punjab ke khilaaf match ke din deepak Agarwal ko paegham aayake woh unse milna chahtay hain. ICC ki janib se jari bayan mein kaha gaya ke Shakib ko Deepak se ek whatsapp mesagge mila jis mein poocha gaya ke kiya ek makhsoos khildadi aaj ke match mein khelayga. matlab androoni maloomat mangi gayi theen.

Satta baz ne apni guftagu jari rakhtay hue Bittcoin, dollar account ke baray mein baat ki aur Shakib se unke dollar account ki tafseelaat talabb kee aur isi guftagu ke douran Shakib ne Deepak se kaha ke woh un se pehlay milna chahtay hain. Shakib ne khel ki aalmi governing body ke anti corruption unit ke samne  tasleem kiya ke unhon ne 26 April ko mousool hone  walay kayi whatsapp paighamaat ko delete kardiya tha kyunkay is waqt inhen pehli martaba is hawalay se shadeed tahaffuzaat la-haq hue thay, Albata is mauqa par bhi unhon ne ICC ko aagah nahi kiya.

ICC ke mutabiq Shakib ne tasleem kiya ke Deepak Agarwal se guftagu ke baad inhen woh shakhs thoda gad badh laga aur inhen yeh mehsoos hone  laga ke yeh shakhs satta baz hai. yaad rahay ke rawan saal January aur decemeber mein anti corruption unit ke ohdedaron ne Shakib se interview kiye thay aur unhon ne  apne oopar lagaye gaye ilzamaat ko tasleem kiya tha. –YTN STAFF