Aap Lipstick Kyun Lagati Hain?
Amsterdam : Khawateen ke ban sanwarne mein waisay to kayi ek qisam ke Make up ke andaaz aur tareeqay mojood hain aur aaye din mein kuch na kuch tabdilyan hoti rehti hain lekin un mein ek mushtarqa cheez hontoun per lali lagana sadiiyon purana andaaz hai lekin yeh bohat kam log jantay hain ke lipstick laganay ke darparda maqsad Make up nahi balkay Shaitani takhaton se khud ko mehfooz rakhnay ka aqeedah tha.
Is waqt yeh aqeedah tha ke hontoun par rang laganay se Shaitani quwaten Insaan ke jism mein daakhil nahi ho sakteen.
Nai tahaqeeq mein yeh inkishafaat hue hain ke qadeem Unani daur mein jism farosh khawateen hontoun ko surkh kiya karti theen. pehli martaba 1883 mein lipstick ki mojooda shakal ko Holland ke shehar Amsterdam mein honay wali ek aalmi numayesh mein muta-arif karwaya gaya tha. hazaron saal pehlay Misri tahazeeb mein malika bhi hontoun par surkh rang ka istemaal karti theen. un mein qulupatra aur nafrateeti bhi shaamil hain. is waqt surkh rang ko choti choti dabbiyoun mein mehfooz rakha jata tha aur ungli ya phir brush ki madad se hontoun par lagaya jata tha.
Is waqt yeh aqeedah tha ke hontoun par rang laganay se Shaitani quwaten Insaan ke jism mein nahi ghus sakteen. qadeem Unani daur mein jism farosh khawateen hontoun ko surkh kiya karti theen. roman saltanat ki umraa khud ko ghareeb awam se alag thalak rakhnay ke liye hontoun par surkh rang kiya karte they. isi tarhan 16th sadi mein inglistan mein safaid powder se chehray ko safaid aur surkh rang se hont rangna ishrafia tabqay ka Maroof fashion tha.
Tareekh mein chehray par surkh rang ka istemaal mukhtalif tareeqon se hota raha hai. pehlay Amrici sadar George Washington bhi chehray par surkh rang ka istemaal karte they. lipstick ki mojooda shakal pehli martaba 136 baras qabal muta-arif karwai gayi thi. Amsterdam ki numayesh ke chand mah baad lipstick ki tijarti bunyaad par daryaft mein Paris ke khusbho saaz idaray ke do mahireen cosmetic shaamil they. 1884 mein France ke dar-ul-hakoomat Paris mein pehli martaba lipstick ko make up ke ek ahem jazo ke tor par tijarti andaaz mein muta-arif karwaya gaya tha.
Shuru mein isko mashkook nazroun se dekha gaya aur is ka istemaal sirf theatre ki adakarayin aur jism farosh khawateen karti theen. Amsterdam mein 19th sadi ki francesi adakara sara bhi mojood theen aur unhon ne lipstick walay pen ko mohabbat ka qalam qarar diya. ibtida mein lipstick na sirf mehngi balkay ek luxury item thi balkay awaami satah par is ko pazeerai guzashta sadi mein khamosh filmoun ke daudh mein mili. 1893 mein hi America mein qaim honay walay fashion store sears ki fashion catalogue mein bhi lipstick ko shaamil kiya gaya tha. 1912 tak America ki fashionable khawateen ne lipstick ko qubool kar liya tha. 1921 ek aisa saal tha jab is waqt ke tijarti aur siyasi manzar par ajarah daari ke haamil malik Bartania ke dar-ul-hukoomat London ki khawateen ne usay pasand karna shuru kiya aur yahi iski aam maqboliat ka baais bana. 20th sadi ki pehli chowthai ke douran London fashion ka ghar khayaal kiya jata tha.
Market research firm ki ek nai tahaqeeq ke mutabiq 16 se 24 saal ke darmiyan 48 feesad khawateen lipstick ko intahi ziyada pasand karti hain jabkay unki farokht mein salana bunyadon par 10 feesad se zayed izafah ho raha hai. german akhbar ki ek report ke mutabiq moujooda door mein Selfie ke rujhan ki wajah se bhi lipstick aur make up ke istemaal mein bohat ziyada izafah hua hai. is report ke mutabiq 2011 se 2016 tak make up ki farokht mein 53 arab euro ka izafah hua hai.
Adad wo shumaar ke mutabiq 2018 mein duniya ki saat badi markets mein takhreeban 266 arab euro maliyat ka make up farokht hua. un mein Europe 78.6 arab ke sath sare fehrist hai. aaj kal lipstick ke taiz rang muta-arif karwaye ja rahay hain aur un mein surkh rang khaas tor par ahem hai. -YTN STAFF