Monday, May 20, 2024
HomeIndiaShaheen Bagh se Kejriwal ki doori par Congress ki tanqeed

Shaheen Bagh se Kejriwal ki doori par Congress ki tanqeed

New Dehli: Delhi intikhabaat ke pesh e nazar sargarmia urooj par poanch rahi hain aur koyi keh raha hai ke 8 tareekh ko Delhi mein Hindustan. Pakistan muqaabla hoga, To koi keh raha hai ke muft WIFI dhoondtay dhoondtay Phone ki Battery khatam ho gayi, Koi ye kehta huva nazar aa raha hai ke kam az kam intikhabaat mein School aur Hospital ki to baat ho rahi hai. Jaisay jaisay 8 feb qareeb aa rahi hai waisay waisay intikhabi sargarmia aur ek dosray par tanqidoun mein bhi teezi aati jaar hi hai. Wazeer e dakhla Amit Shah ne ek intikhabi jalsa se khitaab karte hue Delhi ki Chief Minister Kejriwal hukoomat par jam kar tanqeed ki. Shah ne kaha ke poooray rastay muft WIFI dhoondata raha lekin WIFI to nahi mila, Phone ki Battery khatam ho gayi. Aam Aadmi Party ke Convener aur Delhi ke Chief Minister Arvind Kejriwal ne jawab mein kaha hum ne muft WIFI ke sath muft Battery charging ka bhi intizam kiya hai. Delhi mein 200 Unit tak bijli muft hai.

Aam Aadmi Party par jahan ticket farokht karne ke ilzaam lag rahay hain jis mein un ki party ke hi rukan Assembly N.D Sharma aur Adarsh Shastri ne kaha hai ke party ne Assembly intikhabaat ke liye ticket farokht kiye hain, Wahein Aam Aadmi Party se intikhabi manshoor mein kiye gaye un wadoun ke baarey mein sawal kiye ja rahay hain jo wo 5 saal mein pooray nahi kar payi. BJP aur Congress Kejriwal hukoomat se sawal kar rahi hai ke jo 5 saal mein 500 naye School kholnay ka wada kiya tha is mein se ek bhi kyun nahi khoola gaya. Delhi ke sarkari schooloun mein jab itni achi padhai ho rahi hai to phir talba ki tadaad kyun kam ho rahi hai aur Board imtehanaat mein kamyaab honay ke feesad mein kyun kami ho rahi hai. Congress ki Ragini Nayak ne kaha hai ke hamein is baat ki khushii hai ke Shela Dixit hukoomat ne jo schooloun ki mazboot bunyaad daali thi, Un mein rang roghan kar ke un ka rakh rakhu to kiya hai lekin naye School khole nahi aur ulta taleem ka miyaar kharab kar diya.

BJP ye ilzaam laga rahi hai ke mohalla Cilinic ke naam par wazeer Satyendar jain ki beti ko zimma daari dena seedhi bad unwani thi aur ye bhi keh rahi hai ke schooloun ke ek kamray par 20 lakh rupay se ziyada kharch karna bhi bad unwani ki janib ishara karta hai. AAP muft bijli, Pani aur khawateen ke liye Bus mein muft safar ko le kar awam ke paas ja rahi hai jis par BJP ne kaha hai ke ye paisa awam ka hai aur awam se hi wusool kiya jaye ga.

Congress ka Aam Aadmi Party se sab se bada sawal ye hai ke wo ek khaas tabqa ke vote haasil karne ke liye Shaheen Bagh, JNU aur Jamia se khodko daur rakh rahi hai. Ragini Nayak ne kaha hai ke ”Aam Aadmi Party ka janam ek tehreek se huva hai lekin jab mulk ke ayeen ke liye khawateen sadkoun par tehreek chala rahi hain to wo is tehreek se khud ko kyun daur dikha rahi hai. JNU mein itna tashadud huva lekin Aam Aadmi Party sab jagah se nah sirf gayab rahi balkay is ne intikhabi faido ki wajah se poori khamoshi banai hui hai.

Beher haal, 8 feb tak ye siyasi partiyan ek dosray par aisay hi ilzamaat lagatay rahen ge aur har party ki yahi koshish rahay gi ke awam un ke haq mein Button dabay. Is sab mein BJP ke Kapil Mishra ne jo 8 tareekh ko Hindustan Pakistan muqaabla ka naam diya hai wo bohat takleef da hai. Election commission ne un ko is bayan ke liye Notice zaroor jari kiya hai lekin zaroorat is baat ki hai ke aisay umeedwaroun ko intikhabaat ke liye na ahal qarar dena chahiye. –YTN STAFF