Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaShaheen Bagh muzahireen ke 7 mutalibaat, Sab se pehlay qanoon wapas lainay...

Shaheen Bagh muzahireen ke 7 mutalibaat, Sab se pehlay qanoon wapas lainay par zor

New Delhi: Shaheen Bagh mein Shehriat Tarmeemi Qanoon ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj karne walay muzahireen ke sath Supreme Court ki muqarar kardah mazakraat Sadhana Ramachandran haftay ko musalsal chouthay din baat cheet ke liye pohnchain lekin baat cheet se hunuz koe nateeja nahi nikal saka.

Sadhana Ramachandran ne chouthay din bhi muzahireen ko rasta kholnay par raazi karne ki koshish ki, Taham muzahireen ne mazakraat karke samnay 7 mutalibaat rakhay aur kaha ke jab tak CAA ko wapas nahi liya jata is waqt tak rastay ko khaali nahi kiya jaye ga.

Subah ke 10.30 bajey Shaheen Bagh pounchanay wali Sadhana Ramachandran ne kaha agar rasta nah khula to hum aap ki madad nahi kar saken ge. Hum ehtijaj khatam karne ke liye nahi keh rahay hain. Unhoun ne mazeed kaha mein yahan hukoomat ki taraf se nahi aayi hon. Hum Supreme Court se kahin ge ke aap ko tahaffuz faraham kiya jaye. Aap ko ek Park de diya jaye ga jahan aap ehtijaj jari rakh satke hain

taham, Mazakraat karki is baat ko tamam muzahireen neh yaksar mustard kardiya aur un ke samnay saat mutalibaat rakhay. Muzahireen neh kaha ke hum mutalba karte hain ke agar aadhi sadak khul jati hai to Security ke liye Aluminium Sheets ki zaroorat hai. Is ke ilawa Shaheen Bagh ke logoun aur Jamia ke talba ke khilaaf darj muqadmaat ko bhi wapas liya jana chahiye.

Muzahireen neh mazeed mutalba kiya, Qaumi abadi Register ( NPR ) par amal daraamad nahi kiya jana chahiye. Markazi wazeer ke mutanazia bayanaat par karrwayi ki jani chahiye. Ahtijaj ke douran halaak honay walay afraad ke lawahiqeen ko muawza diya jaye aur zakhmi honay walay afraad ke ilaaj o mualjay ke akhrajaat hukoomat bardasht kere. Hamein Delhi Police par aetmaad nahi hai, Supreme Court hamari hifazat ke barey mein yaqeen dehani karwaye.

Ahtijaj ke maqam se nikaltay huve mazakraat kar Sadhana  ne Media numaindoun se kaha yahan huvi baat cheet ke barey mein wakeel Sanjay Hegde se mein baat karoon gi. Zahir hai 70 dinoun se CAA NRC ke khilaaf ehtijaj jari hai aur jis andaaz mein ehtijaj ho raha hai is ke aas paas ke logoun ko pareshani ho rahi hai. –YTN STAFF