Monday, April 21, 2025
HomeIndiaShaheen Bagh muzahira, Supreme Court mein 17 Feb ko aayendah sunwai

Shaheen Bagh muzahira, Supreme Court mein 17 Feb ko aayendah sunwai

New Delhi: Shaheen Bagh muzahira ke talluq se Supreme court ne aaj 10 Feb ko bhi koi faisla nahi diya hai aur is maamla ki sunwai ab 17 Feb ko hogi. Shaheen Bagh muzahira ke aaghaz ko 55 din se ziyada ho gaye hain aur is muzahira ko hataane ke liye kuch logoun ne adalat ka darwaaza khat khataya hai aur mutalba kiya hai ke ilaqa ke awam ki pareshaniyoun ko dekhte hue muzahira ko sadak se hata diya jaye. Ye arziyan adalat mein wakeel Amit Sahni aur BJP rehnuma Nand Kishwar Garg ne daakhil ki hain.

Supreme court ne muamlay ki samaat karte hue ye tajweez di ke ehtijaj awaami sadak par ghair muayana muddat ke liye nahi kiya ja sakta hai, Is terhan ke ehtajaji muzahiroun ke liye ek makhsoos jagah ka intikhab hona chahiye.

Supreme court ki bench ne kaha hai ke muzahira ghair muayana muddat ke liye jari nahi reh sakta. Wazeh rahay is maamla mein ye umeed ki jarahi thi ke Delhi intikhabaat ke baad ya to hukoomat muzahireen se baat cheet kere gi ya phir adalat is muzahira ko hataane ke liye hukum jari kere ga lekin aaj ke faisla ke baad 17 Feb tak is muzahira ke talluq se koi bhi shakal samnay nahi anay wali hai. Idhar Shaheen Bagh se rozana aisi khabrain aa rahi hain ke wahan ghair samaji anasir muzahira mein daakhil hokar baduamni phelanay ki koshish kar rahay hain. Sikh samaaj ke loog badi tadaad mein mein Shaheen Bagh muzahireen ke sath yakjahti ka muzahira kar rahay hain. –YTN STAFF