Sunday, June 2, 2024
HomeIndiaShaheen Bagh elaqay mein 3 lashain dastyab, Police tehqiqaat mein masroof

Shaheen Bagh elaqay mein 3 lashain dastyab, Police tehqiqaat mein masroof

New Delhi: Hindustan mein is waqt shehriat tarmeemi qanoon aur is ke khilaaf Shaheen Bagh mein khawateen ka taweel waqt se jari ehtijaj ahem mauzo banay huve hain aur ab Shaheen Bagh se 3 laashoun ki dasteyabi ne awam  jassus peda kardiya hai. Guzashta raat ( 6 March ) ko Delhi ke Shaheen Bagh ilaqay mein 3 mukhtalif maqamat se 3 afraad ki lashain mili hain. Tenu mamlaat ki tafteesh ki jarahi hai. Police ke mutabiq filhaal un tenu waqeat mein koi mashkook cheez nazar nahi aayi hai. Laashoun ka Postmortem kiya jaye ga. Zilai Deputy Commissioner Police R.P Meena ne ye ittila Media ko di. Unhoun ne kaha raat 12 bajkar 25 minute par laash milnay ka pehla muamlay ka ilm huva.

Mutwafi ki omar taqreeban 35 saal hai. Ye laash dareaye Yamna ke kinare par tairti huvi mili hai. Tafteesh ke baad laash ki shanakht Madan Thapa wald Manveer Thapa, Saakin Ashok Nagar Delhi ke tor par huvi hai. Laash Postmortem ke liye bhaij di gayi hai. Maloom huva hai ke Madan Thapa ki ghumshudgi 3 Feb 2020 ko Hari Nagar Police Station mein darj ki gayi thi. Jism par kisi qisam ke chout ke nishaan nahi miley hain.

Doosri waqea mein, Saadhay 3 bajey ke qareeb ek laash mili. Mutwafi ki mutawaqqa omar 40 saal hai. Jummay ke aakhir tak laash ki shanakht nahi hosaki. Laash ko shanakht aur phir Postmortem ke liye Postmortem House mein mehfooz rakha gaya hai. Shaheen Bagh F Block mein laash Mother Dairy ke peechay naalay ke qareeb se mili hai. Is ilaqay mein ek aur laash bhi mili hai. Railway Police is teesri laash ki tafteesh kar rahi hai. –YTN STAFF