Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaShaheen Bagh ehtijaj ne sankhiyoun ki neend haraam kardi

Shaheen Bagh ehtijaj ne sankhiyoun ki neend haraam kardi

Hyderabad: Is waqt hamaray mulk ke jo halaat hai wo saari duniya par ayaan hain. BJP hukoomat mulk ke ahem mozuaat jis par khaas kar muashi taraqqi, Rozgaar, Sahet aur Taleem ke masail hal karne par tavajja markooz karne ke bajaye shehriat tarmeemi qanoon ko muta-arif karte hue apnoun se ziyada gheiroun par karam ke misdaaq padosi mumulik ke panah guzinoun aur muhajreen ko shehriat dainay par saari tawanai sirf kar rahi hai.

Shehriat tarmeemi qanoon ke manzoor honay ke sath hi mulk mein ek be cheeni ki kefiyat hai jis ne mulk ki pur aman fiza ko athal puthal kardiya hai. Dehli ke Shaheen Bagh aur is terhan kayi maqamat par honay walay ehtijaj ne hukoomat aur awam ke darmain ek badi challenge peda kardiya hai. Ek janib jahan awam kalay qanoon shehriat tarmeemi qanoon ki mukhalifat kar rahay hain to doosri janib RSS ke haami sharpasandoun ne pur aman ehtijaj aur ehtijaj mein shirkat karne walay afraad ko nishana bananay ki sazishoun mein masroof hain.

Har guzarte din ke sath BJP leaderoun aur mutasib police ohdedaroun ke aisay sharamnaak bayanaat samnay arehay hai ju Hindustan ki duniya bhar mein secular saakh ko badnaam kardiya hai. Markazi wazeer Anurag Thakur ka ishtial angaiz naara samaaj mein nafrat phelanay aur mulk ko khanah jungi ki aag mein dhakelne wala hai. Ye pur aman mahol ke liye kis terhan behtar hoga ke ek markazi wazeer is terhan ka bayan day aur is ke baad is ke chahanay walay sherangizi nahi karen ge is ki zamanat nahi di ja sakti hai.

Ek janib jamhoriat aur Secular Hindustan ko kisi bhi nuqsaan se mehfooz rakhnay ke liye sadku par pur aman ehtijaj karne walay awam hain to doosri janib Hindotwa aur taasub se bhaday sankhi aur sanki afraad hain aur ab Hindustan mein sankhi aur kher sankhi afraad ke darmain khuli ladai hai. Ab ye bhi dekha ja raha hai aeye din sankhioun ki sherangizi badhti hi jarahi hai. hindotwa ke sharpasandoun ke hauslay is liye kaafi badhay hue hain kyunkay iqtidaar ki kursioun par baithy un ke aaqaon ki zabaan se wo bayanaat aur naaray nikal rahay hain jo inhen darindgi ka maza lotney ke liye kaafi hain.

Shaheen Bagh ka ehtijaj un ki nazroun mein khatak raha hai aur jahan khawateen pur aman tareeqay se apna jamhoori haq istemaal karte hue fashest takatoun ke khilaaf pur aman ehtijaj ke zareya apni aawaz buland kar rahi hain wahein is pur aman ehtijaj ke liye tainaat mutesab police ohdedaroun ka rawayya nah sirf qabil muzammat hai balkay arbab majaz ko un ke khilaaf karwai karne ki bhi zaroorat hai kyunkay khawateen ke khilaaf nazebah alfaaz aur fiqray kasnay ke ilawa inhen gharoun se nikaal kar esmatraizi aur qatal karne ki tak dhamkyan di jarahi hain.

Hukoomat ke khilaaf pur aman ehtijaj karna har Hindustani ka jamhoori haq hai lekin sankhioun ko ye ehtijaj ek nazar nahi bahara hai. Doosri janib samaaj mein ek aisa bhi tabqa hai jis ka talluq to bhallay hi aksriyati firqa se ho lekin ye bhi un Hindotwa aur fashist nazriaat ke haamil afraad ki sar garmioun se nalan hai lekin wo khul kar un ki mukhalifat mein hanoz sadkoun par nahi aaya hai halaank sankhioun ki janib se haliya barsoun mein musalmanoun ke ilawa deegar tabqaat jin mein isaai, Sikh aur Dalit bhi shaamil hain un ke khilaaf bhi shrangizi ki kayi misalein mojood hain.

Pani jab sar se ouncha honay laga to talba, Ausateza aur Scholars ke Groups bhi jamhoriat ki is jung mein kood pade hain lekin inhen bhi sankhioun ne apne tashadud ka nishana banaya hai. Ye waqea bhi sab ke zehnoun mein mojood hai ke Shaheen Bagh mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) aur NRC ke khilaaf ek mahinay se zayed arsa se mukhalif ehtajaji muzahiray chal rahay hain. Muzahireen mein bachoun aur khawateen ki tadaad kaafi badi hai. Muzahireen markazi hukoomat se naye shehriat qanoon wapas lainay ki maang kar rahay hain lekin sankhi afraad ko ye ehtijaj kaafi pareshan kar rakha hai ye hi wajah hai ke 1 shakhs muzahireen se baat cheet ke liye pouncha lekin is douran mazkoorah fard ne muzahireen ko apni License yafta Pistol dekha kar dhamki di.

Jis ka video news Agency ANI ne jari kiya jo 52 second par mushtamil hai. Viral video mein saaf sunai day raha hai ke muzahireen is fard ko pakad ney ke aawazian laga rahay they. Ye to sirf ek misaal hai lekin ehtijaj ko khatam karne ke liye sharpasand aanser kisi bhi had tak jasakte hain kyunkay wo kisi bhi terhan hindustani awam ke jamhoori haqooq se mahroom karna chahtay hain aur mulk ko ek Hindu ilaqay mein tabdeel karne ke khawahan hain. –YTN STAFF