Sunday, May 12, 2024
HomeIndiaShaheen Bagh ehtajaji muzahira khatam karwa diya gaya

Shaheen Bagh ehtajaji muzahira khatam karwa diya gaya

New Delhi: BJP hukoomat ki janib se mutanazia qanoon shehriat tarmeemi qanoon ko nafiz karne ke baad is ke khilaaf khawateen ke shaheen bagh mein ek aisa ehtijaj shuru huva tha jis ne chand dinoun mein hi aalmi shohrat haasil karli thi jabkay is ke mukhalifen ne khawateen ko darane dhamkane un par Petrol Bomb daalnay se leker har wo harba istemaal karliya tha taakay is ehtijaj ko khatam kiya jaye. Ahtijaj ko khatam karne ke liye Supreme Court ke darwaaza par bhi dastak di gayi lekin tamam tar koshishen aur harbe nakaam rahay lekin ab wabai amraaz Coronavirus ke wajah se ye aalmi shohrat yafta ehtijaj apne 101 din ke baad khatam kardiya gaya hai.

Police ne Corona ke khatraat ka hawala day kar Shaheen Bagh mein baithi khawateen ko hata diya hai aur kayi logoun ko hirasat mein bhi le liya hai. Is waqt Police badi tadaad mein Shaheen Bagh mein mojood hai aur gali gali mein sakht nigrani kar rahi hai.

Shaheen Bagh mein is waqt kaseer tadaad mein Police mojood hai aur CAA mukhalif muzahira khatam karwane ke baad ilaqay mein sakht nigrani rakhay huvi hai. Media zaraye ke mutabiq Shaheen Bagh muzahira khatam karwane ke liye ki gayi karwai se qabal muzahira ke aas paas ki galioun mein Police ki kayi Trucks gasht karne lagi aur kayi Police ohdedar qareeb ke gharroun ki chatoun par bhi dekhe gaye. Social Media par bhi Shaheen Bagh mein gharroun ki chatoun par khaday Police ohdedaroun ki kuch taswerain samnay aayi hain.

Bataya jata hai ke Delhi Police ne intahi munazzam tareeqay se Shaheen Bagh mein baithi khatoon muzahireen ko hataya hai aur is ke liye pehlay se mukammal tayari karli thi. Bataya jata hai ke jab muzahira ke maqam se logoun ko hataya ja raha tha to logoun par nazar rakhnay ke liye Drone Cameras ka bhi istemaal kiya gaya. Khabroun ke mutabiq Police ne is darmiyan darjan bhar un logoun ko hirasat mein liya hai jo muzahira khatam karne se mana kar rahay they. Halaank kuch Media zaraye ne nisf darjan logoun ko hirasat mein liye jane ki khabrain di hain.

Darin asna Police ne kaha hai ke hum pehlay se hi logoun se Appeal kar rahay they ke wo muzahira ko khatam kar den aur jab wo nahi manay to aaj subah karwai karni padi. Police ne kaha hai ke shuroaati tor par 10 se 12 logoun ko hirasat mein liya gaya hai jin par qanooni karwai hogi. Dekhnay wali baat ye hai ke Police hirasat mein liye gaye logoun ke khilaaf kis terhan ka qadam uthati hai. Shaheen Bagh mein soorat e haal kasheeda nah ho, Is liye Police ki badi tadaad ab bhi lagataar ilaqay mein gasht kar rahi hai.

Wazeh rahay ke Shaheen Bagh mein kayi mahinay se ye muzahira chal raha tha aur aaj muzahira ka 101 wan din tha. Shehriat tarmeemi qanoon, NRC, NPR, Ke khilaaf ye muzahira poori duniya mein shohrat haasil kar chuka hai aur Coronavirus ke asraat ko dekhte huve is muzahira mein 5 se 6 khawateen hi allamti tor par baithi huvi then aur ahthiyat bhi bart rahi then. Lekin Delhi Police ne Coronavirus, Lockdown aur dafaa 144 ka hawala dete huve karwai ki aur is muzahira ko khatam karwa diya. –YTN STAFF