Friday, April 26, 2024
HomeEntertainmentShah rukh khan ne aakhri lamhe mein Ajay Devgan ke saath shooting...

Shah rukh khan ne aakhri lamhe mein Ajay Devgan ke saath shooting mansooq kardi

Mumbai: Shah rukh khan ka beta Aryan khan hafta 2 October ko Mumbai se goa jaane wali cruise par manshiyat ke ek muqadme mein giraftar kiya gaya use hirasat mein lene ke baad adaalti tahweel mein muntaqil kar diya gaya. Shah rukh khan aur unke khandan ke liye yeh mushkil waqt hai. Brahma sutra adakar fitri taur par apne bache ke barein mein pareshan hain jis ki wajeh se usne apni ek shooting mansooq kardi hain. I times ki ek report mein bataya gaya hai ke Shah rukh khan ne aakhri minute mein Ajay devgan ke saath ek ishtehar ki shooting mansooq kardi hain.

Report mein kaha gaya hai ke tamaam zaroori ehtiyati tadabeer ko madde nazar rakha gaya tha lekin super star samne nahi aaye. Qareebi zaraye ne bataya Shah rukh khan ke set par taqreeban 20 -25 bouncer tenaat kiye gaye hain aur unki venti van bhi subha se studio mein maujood hain lekin super star ne shooting ko mansooq kar diya tha. Woh Ajay devgan ke saath kaam karne wale the lekin paishe warana kaam ko mansooq karne ka faisla kiya mumkina taur par is pareshani ke waqt ki wajeh se jo use apni zaati zindegi mein dar paish hai Shah rukh khan ne shooting mansooq kardi.

Daree asnaa shah rukh khan ne atli ki shooting bhi chod di. Doosri jaanib Aryan khan ne hirasat mein apne Walid se mulaqat ki report mein bataya gaya hai ke woh toot gaya aur use dekh kar shah rukh khan be chain ho gaye. Manshiyat muqadma mein Aryan khan ke alawa mazeed 7 afraad ko hirasat mein liya gaya. Naamo mein Arbaz merchent aur munmoon dhamicha qabil e zikr hai. TNCB ke auhdedaro ne pehle kaha tha ke unho ne mamnooa manshiyat jaise cochin mefedeon charas haidroponk wed aur MDMA aur naqd rupiye zabt kiye hai. Media report mein yeh bhi kaha gaya hai ke Aryan khan ne manshiyat lene ka aeteraaf kiya hain.