Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadShah Ali Banda may moujood Hyderabad ki Khowa ki market masail ka...

Shah Ali Banda may moujood Hyderabad ki Khowa ki market masail ka shikaar

Hyderabad: Khowa ki tijarat Hyderabad mein taqreeban ek sadi qadeem tijarat hai lekin puranay shehar ke muqam Shah Ali Banda ke Chandulal khowe ka Bela mein mojood Khowa ki mandi jo-ke apni tijarat ke liye paddosi reyaston par inhisaar karti hai ab is market ko mushkil halaat ka saamna karna padh raha hai. Khowa jo-ke doodh ke zariye tayyar kiya jata hai aur yeh mithaiyoun ke alawa bakery ki ashya ki tayari mein istemaal kiya jata hai jabkay hyderabad ki ghizai ashiya may khowa ek  zurori shaye maana jata hai. shehar-e-Hyderabad mein moujood Khowa ki market jis mein 50 se zayed dukanain moujood hain aur yeh market jo-ke padosi riyasat Maharashtra aur Karnataka ke alawa mutahidda AP mein andhrayi ilaqoun se khowa haasil karte thi usay ab kisi masail ka shikaar hona pad raha hai.

Chandulal Bela mein mojood Khowa ke dukandaar daar Abu bhai nay Shah Ali Banda ki market ke masail ko wazeh karte hue kaha ke fil haal hyderabad ke liye Khowa maharashtra se aur khaas kar padosi is riyasat mein Sholapur city se sarbarah kiya jata hai jabkay maazi mein aandhra pradesh ke ilaqoun ke alawa karnatak ke baaz ilaqoun se bhi Khowa ki sarbarahi hoti thi. Khowa sarbarah karne walay ziyada tar afraad Dairy farm hotay hain aur yeh sholapoor mein apni ashya ko muqami traders ko farokht karte hain jiske baad woh traders raat 8 bajey tak Khowa ko das kilo aur 12 kilo ke wazni bigs mein pack karte hue usay hyderabad ki taraf rawana karte hain jo ke yahan subah 8 bajey tak dastyab hojata hai.

Jaisay hi padosi reyaston se gadiyon mein khowe ke bags atay hain usay foran hyderabad ke kharidaron mein taqseem ( farokht ) kardiya jata hai. pehlay hyderaabadi market ko Gulbarga aur Bidar se bhi Khowa ki sarbarahi hoti thi jo ke padosi riyasat karnatak ke do ahem ilaqay hain is ke alawa riyasat Telangana Ke zila Zahirabad aur medak se bhi Khowa ki sarbarahi hoti thi lekin ab un ilaqon mein Khowa ki tayari band kar di gayi hai. mukhtalif maqamat par Khowa ki tayari jo ho rahi hai wahein muqami market mein farokht kar diya ja raha hai kyunkay door daraaz ke ilaqoun mein Khowa ki sarbarahi unke liye nuqsaan ka souda ho raha hai. janwaroun ke masail aur deegar rukawaton ki wajah se hyderabad ki market ko Khowa ki sarbarahi hi nahi ho rahi hai .

Tafseelaat mein yeh baat bhi samnay aayi hai ke padosi riyasat maharashyra mein mein khwoa tayyar karne walay tajir berooni kharidaron ko 150 rupay fee kilo se kam daam mein farokht karne ke liye tayyar nahi hain aur jab maharashra mein khowa fee kilo 150 rupay dastyab ho raha hai jis ke baad usay maharashtra se transport karne ke liye deegar akhrajaat bardasht karne pad rahay hain jis ke baad hyderabad anay tak Khowa fee kilo 200 rupay tak pohanch raha jis ki wajah se ab hyderabad mein Khowa fee kilo qeemat mein bhi be tahasha izafah hua hai aur jaisay hi maharashtra se Khowa ki van hyderabad pohanch rahay hain to chand minutes mein hain yeh muqami taajiron ko farokht kar diye jarahay hain.

Hyderabad ki Khowa ki market ka ab ziyada tar inhisaar maharashtra market par hi ho raha hai jis ek janib hyderabad ke Khowa ki market ko masail ka saamna hai to doosri janib Khowa ki chillar farokht mein qeematoun ke izafay se awam ke liye meethi dishes ab aur ziyada mehngi hoti jarahi hain. –YTN STAFF