Monday, April 29, 2024
HomeLatest NewsShah Abdul Aziz Airport se be-rooni tayyaroun ki parwaaz ka aaghaz

Shah Abdul Aziz Airport se be-rooni tayyaroun ki parwaaz ka aaghaz

Riyadh:  Jeddah ke naye Shah Abdul Aziz Airport Terminal 1 se ghair mulki Airline ki pehli parwaaz Dubai ke liye rawana hue. Civil Aviation ke tarjuman turkey Al-Zaib ne kaha ke  Airport Terminal 1 se ghair mulki Airline ki parwazoun ki aamad waraft marhala waar shuru ki jayegi. pehlay marhalay may United Airlines ki parwazein Terminal one se shuru ki jarahi hain. Al-Zaib ne mazeed kaha Jeddah se UAE ke Dubai International  Airport ke liye hafta may 3 parwazoun ki amad o raft naye Airport ke Terminal one se hogi.

Terminal one par ghair mulki Airline ke iftitahi taqreeb ke mauqa par Emerates Air ke tayyaray ko riwayati tor par pani ki topon ke zariye bochhaar kar ke rukhsat kiya gaya jabkay anay wali parwaaz ka istaqbaal bhi isi terhan kiya gaya.
Terminal one ki iftitah taqreeb may Suul Aviation ke Director general aur United Airlines ke Station Maneger  ke ilawa Airport ke alla ohdedaroun aur deegar idaroun ke ahem ohdedar mojood they. is mauqa par Airport ka amlah musafiroun ki rahnumai ke liye jagah jagah mojood tha. wazeh rahay Shah Abdul Aziz naye Airport ka iftitah khadim harmin sharifin Shah Salman bin Abdul Aziz ne 24 September 2019 ko kiya tha jis ke baad tajribati tor par Al- Saudia Air ki janib se mehdood pemanay par tajribati parwazoun ka aaghaz kiya gaya tha.

Tajribati daur 3 marahil par mushtamil tha. pehlay marhalay may Al-Saudia Air ki androun-e-mulk parwazein Al-Bahah, Al-Duwadimi regoin ke liye mehdood pemanay par shuru ki gayi baad azan dosray marhalay may mazeed Stations ka izafah kiya gaya. teesray marhalay may 21 Stations tak dair Cargo wasee kiya gaya. mumlikat ki qaumi Airline Al-Saudia ke zariye Shah Abdul Aziz ke Terminal one se beroun mulk parwazoun ka aaghaz 9 August 2019 ko Abu Dhabi aur Bahrain ke liye kiya gaya jabkay 10 August ko teesray Station Muscat ka izafah kiya gaya.
wizarat naqlu-o-hamal ki Report ke mutabiq naye Shah Abdul Aziz Airport ki imarat ka majmoi Raqba 8 Lakh 10 Hazaar murabba Miter hai jis ke zariye salana 3 Crore musafir mustafez ho saken ge. Airport par andorun mulk Madinah Munawwara aur Macca Mukarmah jaaney walay musafiroun ke liye Railway Station bhi taamer kiya gaya hai. Civil Aviation ki janib se naye Airport par aazmeen Hajj ki aamad ka Programme abhi tak jari nahi kiya gaya taham ye kaha ja raha hai ke naye Airport se aazmeen Hajj ko be-pana sahoolat hogi. aazmeen Airport Terminal se barah-e-raast Rail ke zariye Mecca Mukarmah aur Madina Munawwara ja sakain ge. – YTN STAFF