Friday, April 26, 2024
HomeExclusiveShadion mein bin bulaye maheman corona ko nah bhoolain

Shadion mein bin bulaye maheman corona ko nah bhoolain

Ahteyati tadabeer ko nazar andaaz karne ka khatarnaak rujhan, Hukkaam ko fori harkat mein anay ki zaroorat
Hyderabad: Coronavirus ki waba se saari duniya mein tarz zindagi badal chuki hai aur shadion ki chaka-chond taqarib ab din ke ujaale mein saadgi se munaqqid horahee hain lekin is ke bawajood awam mein ek qisam ki tashweesh payi jarahi hai jis ki ahem wajah shadi biya hay ki taqareb mein virus se bachney ke liye ahteyati tadabeer ko nazar andaaz kiya jana hai. Virus se bachney ke muamlay mein bas maqamat par ahteyati tadabeer par sakhti se pabandi ki jarahi hai lekin awam ki ek badi tadaad khushee ke mauqa par chehray ke mask ko bhoolnay, Nikah ki taqreeb munaqqid honay ke baad ek dosray se galaay milnay aur musafah karne ke ilawa khushee ke mahol mein samaji faasla barqarar nahi rakh rahay hain.

Coronavirus ki jaria mohlik waba ke douran Virus se tahaffuz ki gharz se Hyderabad aur Ranga Reddy ke ilawa riyasat Telangana ke mukhtalif azlaa mein hukoomat ki janib se jari kardah ahteyati iqdamaat ke rehnumana usoolon ko nazar andaz karte hue mukhtalif shadi khaanoon, Masajid aur dulhanon ke makanaat par hi shadion ka ihtimaam kiya ja raha hai lekin afsos ke un taqarib mein samaji doori aur deegar ahteyati iqdamaat ko balaye taaq rakha ja raha hai. Un taqarib ke sherka ki janib se mask ka istemaal bhi nahi kiya ja raha hai. Mulk ke mukhtalif ilaaqon mein shadi bayah ki taqarib se Amberpet ke ilaqay mein ek taqreeb ke buzurag sherka coronavirus se mutasir honay ka hai.

Is zimn mein media se izhaar khayaal karte hue economic freedom- moment ke qaumi ke baani ne kaha ke shadi bayah ki taqarib mein honay wali la parwahi ko khatam karne ki zaroorat hai kyunkay khushi ka mahol kab maatam mein badal jaye kaha nahi ja sakta kyunkay aaye din saari duniya se aisi khabrain masool horahee hain ke shadi mein shirkat karne walay itnay loog corona se mutasir waghera waghera. Unhoun ne mazeed kaha ke khud shehar Hyderabad aur uskay atraaf mein honay wali shadion ke baad corona ki mayoos kun khabrain par manzar-e-aam par aa rahi hain jin mein ek waqea Amberpet ke ilaqay mein ek taqreeb ke buzurag sherka coronavirus se mutasir honay ka hai.

Aisi mayoos kun it-tila-aat ke bawajod Hyderabad ke qaazi sahiban ke sath sath waqf board, Mehakma aqliati behbood ki khamoshi maienay khaiz hai jis par awam mein gham-o-gussa paaya ja raha hai. Jabkay Hyderabad aur ezlaye ke qaazi sahiban baghair mask aur dastanon ke nah sirf musafah karte hue nazar aaye hain balkay samaji faasla ko nazar andaaz karte hue ek dosray se baghal geer honay ke waqeat bhi aam hain. Taqarib ke ineqad se qabal shadi khaanoon, Makanaat aur Masajid ko sanitize nahi kiya ja raha hai aur baz maqamat par to Hand Sanitizer ki bhi sahoolat faraham nahi ki jarahi hai. Jab ke un taqarib mein bachon, Khawateen aur buzurgon ki bhi kaseer tadaad shareek ho rahi hai.

Nausha ko sehrey ke sath khoob soorat Coat colour ka Matching Mask faraham kiya ja raha hai lekin sherka baghair mask ke hi shareek ho rahay hain. Istarah ki be ahteyati ki wajah se masajid mein bhi corona phelnay ke andaishay hain jis se masajid ke dosray mussali bhi mutaser hu satke hain. Hukoomat Telangana, Mehakma aqliati behbood, Greater Hyderabad Municipal Corporation aur waqf board ko bhi is janib fori tavajja dainay ki sakht zaroorat hai. Hukoomat ko chahiye ke qaazi Sahiban , Masajid aur function hall mein corona ke khilaaf rehnumana khutoot par sakhti se pabandi ka anttam kere aur khilaaf warzi karne walon kay khilaaf sakht jurmane ayed kiye jayen.