Monday, May 12, 2025
HomeSliderShadi mein takheer, Kam bachoun ki paidaiesh, UAE ke sare fehrist masail

Shadi mein takheer, Kam bachoun ki paidaiesh, UAE ke sare fehrist masail

Dubai: UAE mein 5 baras ke douran bachoun ki paidaiesh mein kami record ki gayi hai. Mulk mein paidaiesh ki sharah 5.2 feesad se kam ho kar 3.2 feesad ho gayi hai. Tafseelaat ke mutabiq adaad o shumaar manzar aam par anay ke baad mulk mein ye behas chhad gayi hai ke agar is ki bunyadi wajah kya hai? UAE mein khawateen aur zachgi ke umoor ke mahireen ne is ka badi wajah Shadi mein takheer batayi hai. Is ki wajah se deegar masail bhi peda ho rahay hain.

Dastyab adaad o shumaar ke mutabiq UAE khawateen mein bachay peda karne ki salahiyat maazi ke muqablay mein bohat saaray asbaab ki wajah se kam hui hai. Shadi mein takheer aur niji zindagi ke hisaab par pesha waranah zindagi ko behtar bananay ka fekar bhi is ka ahem sabab hai. Ilawa azeen Diabetes aur motapay jaisay amraaz ke phelao ne bhi khawateen ki shadabi par assar dala hai.

Aqwam mutahidda ki ek report ke mutabiq UAE khawateen mein shadabi ki sharah guzashta 30 baras ke douran 50% se kam hui hai. Un dinoun khaleej Arab mein sab se kam bachay peda karne wali khawateen ka talluq UAE se hai. Lateefa hospital mein khawateen aur zachgi ke amraaz ke shobay ki sarbarah Dr money Tehlak ne kaha hai ke khawateen mein is hawalay se kami ka mushahida dawakhana mein rozana ki bunyaad par horaha hai.

Dr Tehlak ne mazeed kaha hai ke hamaray dawakhana mein har roz 15 khawateen aati hain jin mein se 5 hamal aur bachay peda karne mein nakami ki shikayat karti hain. Baaz aisi khawateen bhi aati hain jo kayi bachoun ki maa hoti hain lekin anjanay asbaab ki bunyaad par kayi baras se maa ban’nay ki khwahish ke bawajood maa nahi ban rahi hoti hain. –YTN STAFF