Sunday, April 20, 2025
HomeJurmShadi mein mutton saalan par jhagda ne 1 shakhs ki jaan chali...

Shadi mein mutton saalan par jhagda ne 1 shakhs ki jaan chali gayi

Hyderabad: Shadi mein  ek jhagda aam baat hain kyunkay to-to mein-mein ke bina shadi ka kaam mukammal nahi hota aisa khayaal kiya jata hai lekin jab mamooli baat par kisi ka jaan chali jaye yeh intehai afsos ki baat maani jati hai aisa hi ek waqay  yadgir-bhongir mein paish aaya jahan mutton saalan par hona walay jhagray ne 1 shakhs ki jaan leli. police ne kaha  ke shadi ke mauqa par mutton saalan ke munasib tareeqay se paish nahi kiye jane ke baad honay  wale ek jhagray  may 1 shakhs ki mout hogayi aur ek aur shadeed zakhmi hogaya.

Police ne kaha ke ye waqea yadgir bhongir zila mein  pesh aaya jis mein 35 sala  shaks ki mout hogayi aur iska bhai zakhmi hogaya jab un par parveen aur kashtiya ne kulhaadi aur laathi se hamla kiya. takheer se mossola ittila ke mutabiq  ye waqea mangal ki raat der gaye zila ke motkur mandal ke dacahram gaon mein paish aaya. Dacharma gaon ke tati malo mahesh ne zila jangaon ke pakila gaon ki ek ladki se shadi ki. dulha ke rishta daar  pakala gaye. Dacharam ke rehaishi suaram jo shadi ki taqreeb mein shareek tha is  ne shikayat ki ke dulhan ke ahal-e-khanah ne mehmanon ke sath munasib sulooq nahi kiya.

Wo nalan tha ke shadi ke douran saalan ke sath mutton ke tukron ko paish nahi kiya gaya. is ki is muamlay par gaon ke ek buzurag se behas hui. dosray mehmanon ne inhen pursukoon karne ke liye mudakhlat ki. gaon wapas anay ke baad venakatiya ne ek baar phir chandraiy ke sath behas ki. takraar ke douran, venkatiya ke betay parveen aur kashitya ne ghusse mein aakar ramulu aur nagarju par kulharihyon se hamla kiya. Ramulu aur nagarjau dono ko shadeed chouten ayen aur inhen bhongir ke sarkari hospital muntaqil kardiya gaya. taham  ramulu ne rastay mein hi dam toar diya jabkay nagarjau ko baad mein hyderabad ke khangi dawakhana muntaqil kardiya gaya. Assistant sub inspector of police ne kaha  hum ne mutasirah afraad ke ahal khanah ki shikayat par qatal ka muqadma darj kiya hai aur tafteesh shuru kardi hai.