Wednesday, April 24, 2024
HomeExclusiveShadi aur Nikah ka farq ek nomuslim bhai ke Nikah mein

Shadi aur Nikah ka farq ek nomuslim bhai ke Nikah mein

Hyderabad: Dostoo 5 August 2020 jab sara Hindustant Black Day manaraha hai, Allah taala ny ek khushi ka mauqa ye ataa farmaya ke hum sab hamaray ek noMuslim bhai Danish ke Nikah ki takreeb mein shareek hue hain. Yaqeenan Dulha, Dulhan aur un ke rishta daar qabil-e-mubarakbaad hain, Lekin aap sab bhi qabil-e-mubarakbaad hain ke aap kisi aam Nikah ki mehfal mein shareek nahi hue hain balkay ek Mujahid ke Nikah mein shirkat kar rahay hain. Ek aisa mujahed jis ko Bank ki manager ki nokari chhuut jaanay ka bhi khatrah tha, Apne khandan walon ke hathon qatal bhi hojane ka khatrah tha, Un khatraat se be khauf hokar unhoun ne Islam qubool kiya, Qanooni tor par elaan bhi kiya aur kaghazi karwai bhi mukammal ki. Danish ne ek saal pehlay Islam qubool karkay lailaha ilallah ki gawahi to di, Lekin aaj Mohammedur Rasulallahkehnay ka haq bhi ada kiya, Yani apna nikah mukammal Nabi ke tareeqay par karkay tamam pedaishi musalmanoon ko sharminda kardiya. ye karnaama khud Islam qubool karne se kahin ziyada ahem hai.

Aap shaed heran hon ge balkay ye aitraaz bhi ho sakta hai ke Islam qubool karne se ziyada ahem Nikah kaisay hogaya. Yaad rakhye, Kalma padhna ek zabani feal hai, Jab amal ka waqt aata hai to kis ney kitna sache dil se kalma padha hai is ka saboot samnay ajata hai. Bholaye mat ke ab se kuch so saal pehlay tak hum sabhi Hindu thay. Reddy, Rao, Warma, Sharmaa, Shudder aur Brahmanas ya weesh ya Shatri ye sab hamein thay. Hamaray aabao-ajdad ney Brahmanas vaad ke qaim kardah Warna system yani jati system“ Jo insanon ko oonch neech, Aala adna, Paak aur napak mein takseem karta hai, Aisay ghiransani aqaed ko chod kar Islam qubool karliya tha Tragedy ye huvi ke jin logon ke hathon hamaray parkhon ney Islam qubool kiya, Un azeem AoliAllah ke duniya se guzar janay ke baad hamaray baap dada ney, Un buzurgon ke dawati mission ko jari rakhnay ke bajaye, Un ke inteqaal ke sath hi un ki qabron par shirk ke wo tamam dhande shuru kardiye jo Islam laane se pehlay manderon mein kiya karte they. Hamaray sirf ashlok badlay, Hum ney kalma, Duroood aur Salam zaroor padhnay shuru kardiye lekin hamaray rasam-o-rivaaj, hamaray aadaat-o-atwaar, Hamaray khushee aur gham ke mawaqay pooray ke pooray wahi rahay. Tamam rasam-o-rivaaj mein sab se ahem shadi thi. wo jon ki ton rahi, Bas farq ye raha ke 7 phairay lainay ke bajaye qaazi ko bulaa liya, Aur kuch mantar padhwane ki jagah kuch Qoran, Hadees aur duayen padhaye. Hamari shadion ko ideal woi otaar rahay jin ki shadian mushrikana samaaj ka model hain. Sita Je ki shadi mein sona chandi, Janwar, Paisa, Samanِ zaroriat ke sath sath jahez mein harijan ghulam mard aur aurtain di gayi theen. Ye jahez hum ne baqi rakha. Lord Shivaa ki baarat Hindu Shastrion ke mutabiq is kaayenaat ki sab se badi baarat thi. Is mein tamam bhagwan, Rashi, Insaan aur un ke sath janglon se sher, Hathi aur ghoday saaray shareek hue they. Ab hum itnay hajhoom ko to kher jama nahi kar saktay they, Lekin ye karliya ke paanch paanch so, hazaar hazaar barati shadi ke mauqa par jama karliye, Aur un ki dulhan ke baap ke kharchay par ziyafat karwadi.

Shadi aur Nikah mein farq

Pooray Islami literature mein kahin shadi ka lafz nahi miley ga, Sirf Nikah ka lafz miley ga jis ko Nabi ney farmaya ke ”Nikha meri sunnat hai“. Shadi mein ek dhoom dhadaka, Ek jashnn ya ek celebration posheeda hai. Ye kayi chuuti aur badi rusmoon ka majmoa hoti hai. Shadi ka hindi lafz ”Vivah“ hai. Un hungamon ki ek wajah ye hai ke is ke peechay kuch khatarnaak aqaed chupay hue hain, Jaisay:

Shadi zindagi mein ek baar hoti hai

Atot bandhan, Janam janam ka sath

Jis ghar mein doli jaye wahan se arthi utthay. ( Yani jis ghar mein beyah Beti ko doli mein bhaij diya jaye, Is ghar ko chod kar wo kabhi wapas nah aaye, Marnay par wahein se is ki arthi yani janaza utthay )

Zahir hai agar ye aqeedah hoga to fitratan aadmi yahi chahay ga ke jitni shandaar tareeqay se khusihyan manayi ja sakti hain, Manalu. Haraam halal ki parwa karne saari zindagi padi hai, Qarzay lau, Dhoka do ya bheek mango lekin shadi dhoom dhaam se honi chahiye, Kyunkay shadi zindagi mein ek baar hoti hai. Doosri majaboori ye bhi thi ke Manusmriti ke mutabiq mushriq samaaj mein hazaron balkay lakhoon zatin hoti hain, Jin ko Jatiya bhi kaha jata hai, Ye tamam Brahmanas ke tehat hoti hain, Brahmanas ke baad Weesh, Shastri  phir shudder hotay hain, Jin ko aaj dalit, Aadi vasi, OBC, BC, Schedule cast waghera waghera mein baant diya gaya hai. Phir Brahmanas mein bhi aur doosri tamam zaaton mein bhi senkedon chhoote badi zatin hoti hain. Koi ladki apni jati ke baher biahi nahi ja sakti. Akhbarat ke Matrimonial ke safhaat par dekhye, Zaaton par kitna zor diya jata hai. Brahmanas kisi bhi jati mein shadi karsaktha hai, Ya kisi bhi jati ki aurat ko devdasi ke tor par istemaal karsaktha hai, Lekin koi nichli zaat ki ladki ya ladka apne se onche zaat mein shadi nahi karsaktha. Khud un ki apni makhsoos jati mein bhi chunkay be shumaar jaatiyan hoti hain, Koi apni makhsoos jati ko chod kar doosri apni hi hum wazan jati mein bhi shadi nahi karsaktha. Agar kar le to samaaj qubool nahi karta, Kyunkay is se nahosat aati hai. Is nahosat ko daur karne ke paraeshart ya gufare ke tor par ladki ko kisi janwar ya darakht se shadi karni padtee hai. Mashhoor film adakar Amitabh Bachchan ke betay Abhishik ki shadi mein saari duniya ny ye tamasha dekha ke un ki baho Aishwarya Rai jo allag zaat ki theen, Inhen Amitabh ke betay se shadi karne ke liye pehlay ek darakht se shadi karni padi. Kahin aisi shadian kutton se, Kahin Billiyon ya hathion se ki jati hain. Muddat ka tayin un ki kondali ke mutabiq kiya jata hai. Is liye aaj kal ki jo taleem yafta nasal hai, Jo un khurafaat ko nahi manti, Apni shadi ke liye ishtihar mein ye wazeh tor par likhti hain ke “Religion no bar, Caste no bar” Yani mazhab ya jati ki koi qaid nahi hai. Nai nasal Manusamrati ke un usoolon ko toad kar bohat taizi se baher nikal rahi hai. Kyunkay har jati mein achay ladkoon ki kami hoti hai. Jab market mein supply kam ho aur demand ziyada ho to aap jantay hain kiya hota hai. Black marketing shuru hojati hai. Achay ladke kisi bhi samaaj mein kam hotay hain is liye un ko haasil karne ke liye ziyada se ziyada rishwat dainee laazmi hai. Yahan se”Jahez“ aur ”Handa“ yani jooday ki raqam ka silsila shuru hota hai. Ziyada se ziyada handa aur jahez day kar achay ladkoon ko khareed lena har ladki ke baap ki majaboori hojati hai. Aur har ladke ki maa aur baap ziyada se ziyada wusool karne ki hiras aur lalach mein padjate hain. Jahez dena is liye bhi zurori hai ke mushriq samaaj mein baap ki waarsat mein se beti ka hissa is ki shadi ke waqt hi day diya jata hai. Is liye baap ki kul jama poonji ka kondali nikaltay waqt hi hisaab karliya jata hai. Balkay pehlay se hi maloom karliya jata hai ke beti ke hissay mein kiya aaye ga. Aisi ko dekh kar hi kisi ke ghar rishta bheja jata hai. Jo nichli zatin hoti hain jin ki economic condition bohat kharab hoti hai, Wahan jab ladke walon ko ye maloom hojata hai ke baap ke paas dainay ke liye kuch nahi hai to wo loog jahez ki ek fehrist banakar bhaij dete hain . Ghhor farmaye, Kiya aaj musalman isi mushriq rasam ko mukammal tor par nahi apna chuke hain? Jisay ye loog be ghairti aur dhatai se ”Ladki walon ney khushy se diya“ keh kar drama kar rahay hain, Darasal wo inhen apne baap dada ke isi mushriq dharam se mili hain.

Yahan se phir ek aur rasam janam layte hai. Jald se jald samaaj mein ye elaan kar dena bhi zurori hojata hai ke is ladke ko hum ney khareed liya hai, Warna ye bhi mumkin hai ke baat cheet hojane ke baad koi ziyada jahez ka offer day day to ladke walon ki niit badal sakti hai. Is liye ladki walay dhoom dhaam se mangni kardalte hain. Ladke ko angothi phena dete hain taakay jo bhi dekhe, Samajh jaye ke ye bakra farokht hochuka hai. Phir shadi ke din ka khana, Chunkay un ke paas valima nahi hota, Is liye dono mil kar shadi ke din khana khilate hain. Is ko baarat kaha jata hai. Ek ahem baat ye note ki jaye ke ladke walon ke mehmanon ke khanay ka paisa ladki walay dete hain aur ladki walon ke mehmanon ke khaano ka kharcha ladke walay dete hain. Is liye ladke walay apne ziyada se ziyada maheman le atay hain aur demand karte hain ke hamaray 500, 800 ya 1000 aadmi hon ge. Jab ke ladki walay pressure mein hotay hain, Wo demand nahi kar saktay, Ye bhi ladke walay khud fixed karte hain ke ladki walay kitney mehmanon ko layein. Kiya musalmanoon mein aaj ye rasam mann-o-an isi terhan nahi chal rahi hai?

Mushriq samaaj mein shadi ka tasawwur ek kanyadaan ka tasavvor hai. Kanya yani ladki, Daan yani khairaat. Ladki ko jahez aur hande ke sath daan kardiya jata hai. Jahan doli jaye wahein se doli utthay ka matlab ye bhi hota hai ke chunkay is ko jahez aur shadi ke akhrajaat ki shakal mein baap ki waarsat mein se hissa day diya ja chuka hai, Ab usay baap ke marnay ke baad wapas aakar phir se mutalba karne ka haq nahi hai. Aur jo kuch jahez usay milta hai wo is ki nahi balkay is ke shohar ki malkiat ya properly hoti hai, Yahi wajah hai ke aap akhbarat mein jahez ki wajah se khudkushi ya qatal ke waqeat ki tafseel mein ye bhi padhte hain ke”Shohar mazeed jahez ka mutalba kar raha tha.

Aurat ke dimagh mein shadi ko ”Atot Bandhan ya janam janam ka rishta“ ke tor par bithanay ka nateeja ye nikalta hai ke ab shohar chahay zalim ho ya sharaabii ho, Ya zaani ho, Jove ba’az ho ke dhokay ba’az ho, Boodha ho ke bemaar, Aurat ko isi ke sath rehna hai, Isi ke ghar marna hai. Agar Shohar maaray to usay maar khaani hai kyunkay Manusmriti ke aurat ke mutabeq agar shohar maarta hai to aurat ke pichlle janam ke jo paap hotay hain wo dhull jatay hain. Mard ka ek ek thappadh aurat ke ek ek paap ko dholta hai“ Hatta ke mard ke hathon aurat ki mout bhi hojaye to ye qabil-e-tazeer jurm nahi hai. Agar kisi doosri jati ke mard ke hathon is ki biwi ka qatal hojaye to is ki basparas ki ja sakti hai lekin agar Brhamanas ke hathon biwi marjaye to Brahamanas ko saza nahi di ja sakti. Balkay biwi ko aglay janam mein bohat achay inaam ki khushkhabri di jati hai. Agar shohar marjaye to biwi ko banao sankar sab kuch tark kar dena farz hai. Wo kisi se shadi nahi kar sakti, Wo ek manhoos aurat tasawwur ki jati hai, Kisi khoshi ki takreeb mein is ke jaanay se wahan bhi nahosat warid hoti hai,

Is liye wo apne ghar ke aangan mein ek kamrah banakar rahay, Lekin khud apne ghar mein daakhil nah ho. Kuch Rajasthan ki zatin aisi hain jin mein aurat ko satti kardiya jata tha yani jala diya jata tha, Taakay nah wo zindah rahay aur nah kisi mard ki nazar mein aaye. Mard chahay to aurat ko chod sakta hai lekin aurat khula nahi le sakti, Kyunkay shadi zindagi mein ek baar hoti hai . Kiya pedaishi musalmanoon ne ye rasmen choari hain? Kiya un ke paas aaj bhi bevaa se mutalqa se shadi karna ek aib nahi samjha jata? Kiya agar shohar zulm kere to loog aurat hi ko qasoor waar samajh kar is par laan ta’an nahi karte?

Jahez dainay ka hukum Hindu shastri mein mojood hai. Kaha gaya hai ke 3 qisam ki dakshina gifts hoti hain. Ek baghwan ke naam par, Ek guru dakshana yani guru, Ustaad ya pandit ko, Teesri gift jahez dena yani dulah ko, Jo dulhan walon ki taraf se di jati hai. Ye ek mazhabi aqeedah hai ke dulah ko ziyada se ziyada dakshena di jaye. Kiya hamaray molvion nay yahi kaam nahi kiya ke jahez ko hadiyan ya tohfa day kar sunnat se saabit kardiya?

Ab aayye, Dekhye, Un musalmanoon ki taraf jin ke baap dada ne Islam to qubool karliya, lailaha ila Allah to padh liya, Lekin kahan tak unhoun neMohammed Rasuallah ko apna rasool maana. Shadi ki ek ek rasam aaj tak wahi hai jo apne pichlle dharam se le kar aeye they. Be sharmi ki intahaa ye hai ke un rusmoon ko nah sirf jari rakha balkay un ko Islamise karne ke liye un ke woi molvi agay aeye jo kabhi pandit aur pujari ban kar sath phairay lagwate they. Had to ye hai ke jahez, Barat, fuzool khrchyon aur kayi rusmoon ko ”khusi se“,”Arf“ aur Mabah, kaha karna aur Mabah keh karna sirf jaaiz kardiya balkay bah nafs nafees un mein shirkat kar ke khoob pait bhar kar khakar nikaltay hue mubarakbaad bhi pesh karte hain.

Islam mein shadi ka daur daur tak koi tasawwur nahi. Sirf aur sirf nikah ka hai. Aur jo is nikah ke tareeqay ko nah apane, Nabi ne khud faisla farmadya ke is ka mujh se koi talluq nahi, Wo mujh se nahi. Wo mushrikon ka ho sakta hai, Wo nasranion ya yahudion se ho sakta hai, Lekin mujh se nahi ho sakta. Har is aqeday ko Islam ne kuchal diya jis ki bunyaad par aurat ke haquq ki pamali violation of women’ s rights hosakti hai. Jaisay jahez, Baarat, Khana, Jooday ya Handa ki raqam. Ye Social Black mail hai. Khushii se dainay walay is jurm ke sab se baday mujrim hain.

Islam ne is baat ko mukammal radd kardiya ke shadi zindagi mein ek baar hoti hai. Agar aurat ko jahan sar kashi par talaq di ja sakti hai wahein aurat ko bhi haq hai ke agar mard is ke laiq nah ho to wo fori khulla le kar apni zindagi naye siray se kisi aur ke sath shadi karkay shuru kar sakti hai. Nikah ka tasawwur ye hai ke ladki ke baap ya bhai ka ek rupiya bhi kharch nah ho, Nah jahez par aur nah ziyafat par. Ulta ye ke mard ko mehar ada karna hai. Mehar, Aurat ki marzi ke mutabiq hoga. Kitni sharam ki baat hai ke jo haq aurat ko diya gaya aaj musalman muashray nay wo haq aurat se chean kar ladke ke baap aur rishta daaron ko day diya jo shadi ki baat cheet ke mauqa par khud Fixs karte hain, Sirf mehar hi nahi balkay mehmanon ki tadaad, Jahez aur hande ki meqdar bhi wo Fixs karte hain, Aur ladki walay mushriq samaaj ki terhan khamoshi se maan lainay par majboor hotay hain. Ye Nabi ka farmaan hai ke jis nay mehar ada nahi kiya aur mehar ada karne ki niit bhi nahi rakhi, Wo zaani ki mout mara. Mehar naqad ada kiya jaye.

Jahez ya khanay par agar koi baap kharch kar bhi raha hai to ye jaaiz nahi, Lekin wo agar apni zid par kar raha hai to is ka waarsat se koi talluq nahi, Is ke marnay ke baad ladki ko baap ki waarsat se poora poora haq miley ga. Agar bhaiyon ney dainay se inkaar kiya to wo ek bohat baday haraam ke murtakib hon ge. Isi terhan aurat ko kisi bhi kalma go se shadi ki ijazat hai. Islam mein koi jati nahi. Nah koi ouncha hai aur nah neecha. Haan kofo ke ehkaam hain, Magar un ka tayin zaat ki bunyaad par nahi. Aaj ‫UP aur Bihar waghera mein baradrion ka itna zor hai ke Hindusm ki jatiyan sharminda ho jaien.Ek ahem mauzo hai jis par Inshallah aindah kabhi tafseel se roshni daali jaegi.

Dostoo: Nikah ek aisa tareeqa hai jis ko agar ummat Musalmah pesh kere to pooray Hindostan ki gurbat-o-iflaas nah sirf daur ho saktay hain balkay Crores ghair muslimon ke paas Islam ki ek shandaar dawat poanch sakti hai. Aaj musalmanoon ki gurbat-o-iflaas ka ahem sabab yahi hai ke unhoun ne Mohammed Rasoolallah ka kalma to padha lekin apne par khon ka tareeqa nah choda, Is liye aaj Hindostan mein un ko shudron ke baad ka darjah diya ja raha hai. Agar wo ye jahez, Ye mangni, Ye naqad raqam yani handa aur ye kayi so mehmanon ka khana chod den to un ki betiyan Fatima, Umm-e-Kulsoom aur ummahat ul-momineen ki terhan rukhsat hon gi. Nah maa baap ko ghar bechna pade ga, Nah ladkiyon ke bhai kangaal hon ge, Aur nah inhen apni shadi mein kisi aur ghar par woi daaka daalna pade ga jo daaka un ke behanvi ne in ke ghar par mara hai.

Dostoo: Aakhri baat ye hai ke ye laanat salha saal se nahi sadiiyon se chal rahi hai. Meharani jodha bayi ki layi huvi rasmein aaj har Ameer ne apna li hain, Un ki wajah se ye laanat medium classes aur poor classe mein chali aayi hai. Is par khotbe bohat ho chukay, Taqririn aur tahreerein bohat hochkin, Tabsaray bohat ho chukay. Un ko roknay ka ek tareeqa jo Islam ne diya hai wo kabhi Apply nahi kiya gaya. Aur wo ”Jab tum mein se koi burayee ko dekhe to haath se rokay, Agar is ki istetat nahi rakhta to zabaan se rokay, Is ki bhi istetat nahi rakhta to dil se nafrat kere, Ye a is ke baad phir imaan baqi hi nahi rehta“ Is ke mutabiq agar kisi aisi shadi ki dawat aaye jis mein woi mushrikon ke rasam-o-rivaaj yani mangni, Baarat, Jahez waghera hain to is dawat naame ko is ke samnay hi phaar den, Zabaan se kahin ke mein kisi aisi shadi mein nahi aasakta jo mere Nabi? ke Nikah ke tareeqay ke khilaaf hai“. Ye bhi kahin ke”Aaj tak ye gunah mujh se sarzad huwa hai, Lekin mujhe ye ilm nahi tha ke ye itna bada gunah hai, Mein Astaghfar karta hon“. Agar wo murawwat ya ”loog kiya kahin ge“ ke khauf se dawat nama qubool karta hai, Zabaan se kuch nahi kehta, Jaakar khana khakar aur mubarakbaad bhi pesh karkay aata hai to ye jaan boojh kar apne Nabi? ke hukum ki nafarmani karkay apne par khowan ke dharam ko zindah karne wali harkat hai, Is ke baad phir imaan baqi hi nahi rehta.

Note: Nomuslim bhai ki tafseelaat kuch maslehton ki wajah se pesh nahi ki gayeen. Ye nikah 5 August 2020 ko Amaan function hall, Mehdipatnm Hyderabad par ba-waqt Zoher Mohtarama Khalida Parveen sahibaa ki zair-e sarparasti munaqqid huwa, Jo jamaatِ Islami hind ki rukan bhi hain, Ek Maroof samaji jahed kar aur ek councillor bhi hain jin ke paas be shumaar loog apne masail le kar atay hain. Nikah ke fori baad valima kiya gaya.

Social Reform Society ki janib se aisay Nikah jo mukammal sunnat ke mutabiq munaqqid kiye jayen, Yani jin mein nah koi jahez ho, Nah ladki walon se khana liya jaye, Aisay valima ki davaton ke liye shadi khanah free diya jata hai. Ye nikah bhi isi silsilay ki ek kadi thi. Alhamdullilah

Dr Aleem Khan Falki

Sadar Social Reform Society

Hyderabad

9642571721

Disclaimer: The views, thoughts & opinions expressed within this article are the personal opinions of the author. and the same does not reflect the views of Y THIS NEWS and Y THIS NEWS does not assume any responsibility or liability for the same.