Sunday, May 19, 2024
HomeSliderShadeed dabao mein mojood Hindustan ko Clean sweep ka khatrah

Shadeed dabao mein mojood Hindustan ko Clean sweep ka khatrah

Canberra: Virat kohli ki zair-e-qayadat hindustani team Australia ke khilaaf pehlay 2 odi muqablon mein shikast bardasht karne ke baad ab chaharshambe ko Canberra Oval maidan mein honay walay teesray aur aakhri odi mein Clean sweep se bachney aur apna waqar bachane ke mazboot iraday se utregi. Hindustan ne series ke pehlay do ODI sydney maidan mein khailay thay jahan usay bal tarteeb 66 runs aur 51 runs se barri shikast ka saamna karna para tha. un shikaston ke baad kohli ki captani ki sakht tanqeed horahee hai aur ab teesray muqablay mein kohli ko nah sirf apni team ko Clean sweep se bachana hoga balkay apna waqar bhi bachana hoga.

Hindustan ko agar teesray odi mein wapsi karni hai to iske bolron ko behtar karkardagi paish karni hogi. hindustani bolron ne pehlay odi mein 374 run aur dosray odi mein 389 runs luttye thay. Is karkardagi ke baad bolron bhi sakht tanqeed ka saamna kar rahay hain ke woh khud ko T20 format se pachaas over mein dhal nahi sakay hain jabkay Australia ke khiladion ne yeh kaam bakhoobi kya hai.

Hindustani team aur Australia ke kayi khiladi muttahid hay arab amarat mein guzashta mahinay 10 November ko IPL khatam honay ke baad dubai se seedhay sydney pohanche thay. Australia ke khiladion ne musalsal matchon mein jahan behtar karkardagi ka muzahira kiya hai wahein hindustani khilari apni le talaash karne ke liye jad-o-jehad kar rahay hain. halaanke Hindustan ne pehlay match mein 308 runs aur dosray match mein 338 run banaye lekin hadaf bohat bada honay ki wajah se team ko shikast ka saamna karna pada.

Un shikaston se kohli ki captani tanqeed ke ghairay mein aa chuki hai aur sabiq opener gautam gambhir ne kohli ke dosray one day mein nai gaind se bumrah se mehez do over mein karwanay ke faislay ki sakht tanqeed karte hue kaha ke un ki aisi captani samajh se paray hain. Gambhi pehlay hi inhen T20 captani se hataane aur Rohat sharmaa ko T20 captain bananay ki maang utha chuke hain aur agar ab hindustaan ko Clean sweep ka saamna karna par tahay to virat ko one day captani se bhi hataane ki maang taiz hojayegi.

Hindustan ne is saal ke shuru mein newzealand dora mein teen matchon ki series mein 0-3 ki Clean sweep jhelai thi aur is series mein bhi is ke chouti ke fast bowler bumrah ki karkardagi mayoos kin rahi. mojood waqt mein duniya ke behtareen fast bolron mein shumaar kiye jane walay bumrah ko team ki wapsi karwanay ke liye teesray match mein behtar karkardagi paish karni hogi.

Aakhri muqablay mein kohli aakhri gayarah khiladion mein kuch tabdeeli karne ka khatrah mol sakte hain. mojooda waqt mein jo bhi ODI series kheli jarahi hai woh tamam 2023 ke Hindustan ki maizbani mein honay walay aayi ICC odi world cup super league ka hissa hai jis mein har match mein jeet haasil karne par 10 point mlitay hain. maizban honay ki wajah se Hindustan ki world cup mein jagah yakeeni hai is liye woh aakhri match mein un khiladion ko aazma sakta hai jo ab tak series mein nahi khailay hain.Shadeed dabao mein mojood Hindustan ko Clean sweep ka khatrah