Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadShadeed barisho ne shehar mein peenay ke pani ki farahmi mutasira

Shadeed barisho ne shehar mein peenay ke pani ki farahmi mutasira

Hyderabad: Is pooray haftay mein honay wali mosla dhaar barish ne shehar bhar mein peenay ke pani ki farahmi ko mutasir kardiya hai. Hyderabad Metropolitan Water Supply and Sewerage Board ( HMWSSB ) ne Krishna phase III ke zariye pani ki farahmi moattal kar di hai kyunkay shadeed barish ke sabab Chanubanda mutasir huwa hai. Is ke nateejay mein 1500 Millimeter duba Krishna phase III ke zariye pani ki farahmi band hogayi hai, Jis se kuch ilaqon mein farahmi mutasir hochuki hai, Taham HMWSSB ke ohdedaron ne kaha ke 24 ghanton mein farahmi bahaal kar di jaye gi.

Mutasirah ilaqon mein Mailardevpally, Budvel, Haider Guda, Attapur, Sulaiman Nagar, Mehdipatnam, Karwan, Sheikhpet, Tolichwki, Langar Houz, Manikonda, Madhupur, Parshan Nagar, Shastri nagar, Malllapelly aur Rajendra Nagar shaamil hain. HMWSSB ne pichlle 24 ghanton ke douran peenay ke pani ke 10400 namoonay ikathay kiye aur pani ke miyaar ke test kurwaye. Yeh aam dinon mein jama kiye jane walay namonon ki tadaad se 4 guna ziyada hai.

Shadeed barish ke dosray marhalay ke pesh-e-nazar Municipal intizamia aur shehri taraqiyati wazeer KT Rama Rao ne HMWSSB ke ohdedaron ko hidayat di hai ke woh test ke liye pani ke namoonay ekhatta karen aur yeh yakeeni banayen ke peenay ke pani ki aloodgi nah ho. Mazeed yeh ke wazeer ki hidayat par amal karte huve hukkaam pani ki nikasi aur gattar lines ki bahaali aur murammat mein taizi laane ke liye 1.20 crore rupiye ki laagat se kaam aaghaz kardiya hai. Barish se mutasirah tamam ilaqon mein Can aur Bottles mein peenay ka pani taqseem kiya ja raha hai. Logoun se guzarish ki jarahi hai ke samp aur tinkon mein zakheera shuda tamam pani saaf karen aur unhein blichng powder se saaf karen .

mazeed yeh ke inhen pani se peda honay wali bimarion se bachney ke liye ahteyati tadabeer ke tor par peenay ke pani mein mila ne ke liye Chlorine diye jarahay hain. Ohdedaron se tele muwasilat ke douran, HMWSSB ke Managing Director M Dana Kishvar ne kaha ke mutasirah ihatay mein gattron, Sadkon ki murammat aur deegar shikayaat ko daur karne ke liye 700 izafi ohdedar tainaat kiye gaye hain. Ohdedaron ko hidayat jari ki gayi hain ke woh sadkon aur Colonies mein over flow bahao Manhole ko tarjeehi bunyadon par theek karen. Ohdedaron ko hidayat di gayi hai ke woh kaam karne ke douran tamam sanitize workers ko mask, Dastanay aur Helmet aur hifazati saz-o-samaan faraham karen.

HMWSSB ne 50 lakh rupay ki laagat se aabi zakhair mein safai aur mamooli murammat ka mansoobah tayyar kiya hai. Is ke ilawa Outer Ring Road ki hudood mein aabi zakhair ki safai ke liye har General Manager ko 5 lakh rupay ki manzoori di gayi hai.