Saturday, April 20, 2024
HomeJurmShabnam ki phansi ki phir tareekh tay nahi hopayi

Shabnam ki phansi ki phir tareekh tay nahi hopayi

Rriyasat Uttar Pradesh ke ilaqay amroha zila waqay bawan khadi qatal aam ki qasoorwar shabnam ki phansi ke liye aaj tareekh par faisla hona tha lakin phir ek martaba phansi multawi ho gayi hai. zaraye ke mutabiq amroha zila court ne istighasa se shabnam ki report mangi thi lekin shabnam ke waqeel ki janib se governor ko reham ki arzi daydi gayi .

waqeel ke is qadam se shabnam ki phansi ko phir ek martaba multawi kar diya gaya. yeh sawal uthnay laga hai ke kya shabnam ka waqeel apni mokil ki jaan bachanay mein kamyaab ho paye ga. Yahan qabil zikar baat yeh bhi hai ke shabnam ke 12 sala bete Taj ne bhi saddar jamhooria se darkhwast ki hai ke is ki maa ko maaf kar diya jaye taakay woh apni maa ke sath zindagi guzaar sakay.

ALSO READ:-Suryapet qatal muqadme mein 13 afraad girftar

Wazeh rahay ke shabnam ke muqadma mein phansi ki tareekh tay honay ke baad death warrant jari kiya jaye ga aur zaabtay ke mutabiq death warrant jari honay ke 10 din ke andar mulzima ko phansi di jaye gi lekin governor ke paas reham ki arzi daqil kiye jane ke sabab filhaal phansi ka phanda shabnam ke gale se dur ho gaya hai.

Yaha yeh baat bhi qabil ghoor hai ke kuch dinon qabal shabnam ne qatal aam maamla mein CBI jaanch ka matlaba karte hue kaha tha ke woh be qasoor hai. Haliya dinon me jail mein jab shabnam ka beta is se milnay aaya tha to shabnam khoob roi thi aur khud ko be qasoor qarar diya tha. shabnam ne –apne bete Taj se yeh bhi kaha ke woh is ki parchaiyo se daur rahaye aur padh likh kar acha insaan banay.

Shabnam ke bete Taj ki parvaris osman nami shaksh kar raha hai aur is ne kaha hai ke taj apni maa se mohabbat karta hai aur chahta hai ke saddar jamhooria is ki phansi ki saza maaf kar den. Osman ne yeh bhi kaha hai ke jab woh Taj ke sath Shabnam se milnay gaya tha to is ne is qatal aam ke mutaliq poocha tha jis par shabnam ne kaha ke woh be qasoor hai aur usay phansaya gaya hai. Halake taqreeban 12 saal pehlay hue is waqea mein adalat ne usay qasoorwar qarar diya hai.