Damascus: Jang aur khanah jangi ki wajah se bad tareen tabahi ke dhanay se guza raha mulk Shaam ko ab sirf fori jang bandi hi duniya ke naqshay se mitney se bacha sakti hai jahan ab tak koyi 9 lakh loog be ghar ho chuke hain. Un barbaad logoun mein aksariyat khawateen o bachoun ki hai, Jin ki haalat ghair bataaye jati hai.
Ikeeswen sadi ke is sab se baday insani almiye ne shumali maghribi Shaam mein bohraan ne dar aur khof ne ek naye shakal ikhtiyar karli hai. Aqwam mutahidda ke ek taaza bayan mein is ka afsoosnaak Notice liya gaya hai aur is aalmi idaray ki taraf se imdadi sar garmioun ke sarbarah Mark Lowcock ke mutabiq waqt agaya hai ke infiradi mafadaat ku ab aur is insaaniyat soos sargarmioun ki raah mein aade nah anay diya jaye aur sirf aur sirf jang bandi se kaam liya jaye.
Unhoun ne kaha ke mutasireen mein badi tadaad aisi khawateen aur bachoun ki hai jo ragoun mein khoon ko jama dainay wali sardi mein campus mein jagah nah milnay ki wajah se sakht sadme mein hain. Intahi sardi mein khulay aasman ke neechay neend se mahroom kaanpti aur thithurti maaen apni nazroun ke samnay apne kamsuun ku dam todte dekh rahi hain. Garmi ke liye ye aurtain har dastyab plastic ko jalati rehti hain.
Unhoun ne Twit kiya hai ke aqvaam mutahidda ki salamti council aur asar rasookh walay dosray loog is baday insani almie se nimatnay ke liye karwai karen. Aqwam mutahidda ne apne press bayan mein kaha hai ke tashadud mein ab kisi taraf se kisi imtiaz se kaam nahi liya ja raha hai. Hamloun ki zad mein anay se koi mehfooz nahi. Hospital, School, Ghar, Ebadat gah aur bazaar sabhi ilaqay hamloun ki zad mein hain.
Aisi bhi it-tila-aat hain ke be ghar honay walay jin ilaqoun mein ja kar bas rahay hain un ilaqoun ko bhi nishana banaya ja raha hai. Imdadi aur insani haqooq ke karkun bhi halaak ya be ghar ho rahay hain. Halakatoun aur laashoun ke bekharne aur sadne se bimarioun ke phelnay ka bhi shadeed khatrah la-haq hai. Sakhtyati tor par Shaam buri terhan barbaad ho raha hai. Idlib aur soobah Halab ke aas paas jo taqreeban 30 lakh loog abad hain, Un mein nisf abadi Shaam ke dosray ilaqoun se be ghar hokar yahan pounchanay waloun ki hai. –YTN STAFF