Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaSeptember ka maheena makhloa jayidadon par bharti ke liye behtar raha

September ka maheena makhloa jayidadon par bharti ke liye behtar raha

Hyderabad: Coronavirus ki wajah kayi afraad ko apni mulazimaton se haath dhona pada jab ke mulazimeen ki ek badi tadaad ko apni tankhao mein takhfeef ko bhi bardasht karna pada hai lekin awam ke liye ek khush khaberi hai ke September ka maheena makhloa jayidadon par taqarurat ke hisaab se ek behtar mah saabit huwa hai.

Ek Report ke mutabiq zindagi aahista aahista mamool ki taraf lotney ke sath September mein makhloa jayidadon se mutaliq sar garmion mein 24 feesad izafah huwa jabkay pichlle mahinay ke muqablay mein ziyada tar adwiyah saazi aur taleem ke shobo mein taqaruraat hue hain. September 2020 ke nokari job Speak Index ke mutabiq August ke muqablay mein 1755 mulazimaton ki bharti hui hai jis ke baad guzashta mah taqaruraat mein 24 feesad behtari aayi hai.

Naukari Job Speak ek mahana Index hai jo Naukari.com Website mahnamh mulazimat ki fhireston ki bunyaad par khidmaat haasil karne ki sar garmion ka hisaab kitaab aur Record faraham karta hai. Is ki report mein kaha gaya hai ke Pharma jaisi san-aton ne is taraqqi ko agay badhaya jis mein khidmaat haasil karne ki sar garmion mein 44 feesad, Fast-moving consumer goods ( FMCG ) ( 43 feesad ), taleem-o-tadrees ( 41 Feesad ) aur IT ( 32 feesad ) ne izafah kiya. Mazeed Report mein kaha gaya hai ke ghair maeeshat ke iqdamaat aur badhti hui naqal-o-harkat se maeeshat ke aaghaz ke nateejay mein Real State ( 44 feesad ) Auto aur zeli ( 29 feesad ) aur maheman nawazi aur safar ( 48 fi sad ) jaisi san-aton mein khidmaat haasil karne mein behtari aayi hai. Is ne mazeed kaha hai ke Business Process Outsourcing ( BPO ) aur Information Technology ( IT )  ( 29 feesad ) aur bankari aur maliyati khidmaat ( 33 feesad ) jaisi ahem san-aton ne tasalsul ke sath mazboot numoo jari rakha hai.