Monday, April 21, 2025
HomeSliderSenior adakara ”Geetanjali “ ka Dehant, KCR aur Jagan ne izhaar-e-taaziyat...

Senior adakara ”Geetanjali “ ka Dehant, KCR aur Jagan ne izhaar-e-taaziyat kiya

Hyderabad : Senior adakara wo aur tajurbah car actress Geetanjali  ka harkat-e-qalb band hone ki wajah se jumaraat ke roz Dehant  ho gaya.

Adakara nay film nagar ke qareeb waqay niji hospital mein aakhri saans li. woh 74 saal ki theen. kakinada mein paeda huien Geetanjali  nay Telugu, Tamil, Malyalam aur hindi ke alawa deegar zabanoun ki 500 se zayed filmon mein kaam kiya.

Apne waalid ki housla afzai ke baad, Geetanjali nay 1961 mein rani ratan prabha ke sath cinema ki duniya mein qadam rakha, is waqt ke star hidaayat car, BA Subba rao ki hidaayat kaari mein, unki adakari nay legend adakar NT Rama rao ki tavajja haasil karli aur inhen 1961 mein Sitharam kalyanam mein devi Sitha devi ki haesiyat se cast kiya gaya.

Geetanjali ki chand mashhoor filmon mein, Illau, Sitarama Kalyanam with NTR, Adurti Subba Rao’s Dr Chakravarthy, Murali Krishna, Abbayigaru– Ammayigaru, Kaalam Marindi,  Letha Manasulu, Bobbili Yuddham, Devatha,  Ghudachari 116 aur Sambarala Rambabu.

Adakara Geetanjali  ka asli naam Mani tha. apne filmi career ke urooj ke douran, unhon nay chand filmon mein sath kaam karne ke baad saathi adakar ram krishan se shadi karli. un ke betay Aditya srinivas nay bhi bator adakar 2008 mein film ”bhuma“ se qismat aazmai thi.

Shadi ke baad Geetanjali  nay filmon se lamba waqfa liya aur bator character actor wapas ayen. Telugu mein unki aakhri film tamanna bhatiya ki maha laxmi hai. is jani maani adakara ki aakhri rasomaat jumaraat ki shaam ada ki gayeen. unki mout par filmi duniya ki sabhi shakhsiyation nay ranj wo malaal ka izhaar kiya  hai.

Maroof adakara Geetanjali ki mout par Telangana ke wazeer-e-aala KCR nay izhaar taaziyat kiya , apne ek pegham mein unhon nay kaha ke Seeta ki hesiyat se film ”Seeta raam kalyanam“ mein unke kirdaar ko hamesha yaad rakha jayega“. KCR ke adakara ke sogwaar lawahiqeen se izhaar-e-taaziyat kiya . sath hi andhra pradesh ke wazeer-e-aala Y S jagan mohan reddy ne adakara Geetanjali  ram krishan ki mout par dukh ka izhaar kiya. –YTN STAFF