Bangkok: Insaan ka urooj o zawaal Sooraj ke tulu honay aur ghuroob honay ke mutradif hi hota hai kyunkay kisi ko urooj par pounchanay par barson lag jatay hain to koi urooj se zawaal ki taraf chand seconds mein ajatha hai aisa hi kuch Senate ke sath bhi hwa hai. thai land ke badshah Vajiralongkorn naay apni saathi Senate Wongvajirapakdi se Shahi khandan se badtameezi aur be wafai ki Padaash mein tamam aazazt chean liye hain. thai land ke badshah Vajiralongkorn naay Senate Wongvajirapakdi ko chand mah pehlay hi royal noble consort ka laqab diya tha jo ab wapas le liya gaya hai .
consort ka laqab badshah ki janib se apni shareek hayaat ya saathi ko diya jata hai. thai land ke 67 sala badshah maha Vajiralongkorn nay apni chothi ahliya malka Suthida se shadi ke do mah baad July mein Senate ko Shahi consort aizaz diya tha. ek Shahi farmaan ke zariye elaan kya gaya ke Senate Wongvajirapakdi nay May mein badshah ki chothi biwi ko malka ka darjah diye jane ki har andaaz mein mukhalfat ki aur un ka rawayya gustakhana tha .
ek sarkari elaan mein kaha gaya hai Senate Wongvajirapakdi ko malka ban’nay ka bara shoq tha aur woh koshish kar rahi thi ke woh malka ke barabar rutba haasil kar len. Senate Wongvajirapakdi major general ke ohday par Faiz theen aur woh tarbiyat Yafta pilot, nurse aur body guard theen. woh taqreeban aik sadi mein pehli khatoon theen jinhen rayl noble consort ke laqab se nawaza gaya tha. ab un se tamam aazazt chean gaye hain. 41 sala malka Suthida sabiq flight attendent aur badshah Vajiralongkorn ki zaati guards ke unit ki deputy commander theen. un ka badshah Vajiralongkorn ke sath purana talluq hai aur kayi saal taq un ko awam mein badshah ke sath dekha jata raha hai .
is elaan mein kaha gaya hai ke Senate Wangojirpakdi ne rawan baras May mein malka ki taenati ko roknay ke liye har andaaz mein muzahmat ki. elaan mein kaha gaya hai ke Senate Wangojirpakdi ko Shahi consort ka ajaz dainay ka maqsad hi is dabao? ko khatam karna tha jis se Shahi khandan ko nuqsaan poanch sakta hai. elaan mein mazeed kaha gaya ke Senate Wangojirpakdi –apne ohday ka najaaiz faida uthatay hue badshah ki janib se ehkamaat jari kar rahi theen. elaan mein kaha gaya ke badshah ko pata chala ke Senate Wangojirpakdi Shahi laqab milnay par shukar guzaar theen aur nah hi un ka rawayya ohday se mutabqat rakhta tha. –YTN STAFF