Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadSelaab se mutasirah khandano mein naqad maali imdaad ko dobarah aaghaz

Selaab se mutasirah khandano mein naqad maali imdaad ko dobarah aaghaz

Hyderabad: Reyasti hukoomat ne haliya shadeed baarisho se selaab se shadeed mutasirah khandano mein naqad imdaad ki taqseem dobarah shuru karne ka faisla kiya hai. Chief Secretary Sumesh Kumar ne Municipal Administration ke Principal Secretary Arvind Kumar aur GHMC Commissioner Lokesh Kumar ko hidaayat di hai ke woh mutasirah ilaqon mein naqad imdaad ki taqseem ke liye Schedule teyyaar karre. Tafseelaat ke mutabiq maali imdaad mutasirah khandano ki dehleez par faraham ki jaye gi aur is ka dobarah aaghaz kardiya gaya hai.

Chief Minister K Chandrashikhr Rao ki hidaayat ke baad mutasirah khandano mein har ek ko 10 hazaar rupiye ki maali imdaad ki taqseem amal mein layi gayi lekin darmiyan hi yeh amal rokk diya gaya kyunkay kayi maqamat se is imdaad ki farahmi mein darmiyani afraad ke commission khanay ke ilawa aqarba parwari ki shikayaat masool hui theen jis ke baad chand dinon ke liye is naqad maali imdaad ko rokk diya gaya tha. Hukoomat ne mutasirah khandano mein 387.9 crore rupiye taqseem kiye. Yeh taqseem selaab se mutasirah ilaqon mein bachao, Imdaad aur bahaali ke Programs ke liye municiple Administration ke mehakma ko Chief Minister ke Relief Fund se jari 550 Crore se ki gayi hai.

Chief Secretary ne Greater Hyderabad hudood mein sehat aur safai suthrayi ke halaat ka bhi jaiza liya jis mein ghair mutawaqqa tor par shadeed barish hui thi. Hukoomat ne mousmi halaat mein tabdeeli ki roshni mein GHMC mein 4 se 10 November tak ek hafta taweel khusoosi safai muhim chalanay ka faisla kiya hai. Covid-19 duniya bhar mein halaat ko pareshan kun kar chuka hai aur selaab ke baad mutaddi bimarion ke baad phail jane ka khadsha hai jis ke tehat baarisho se mutasirah ilaqon mein safai ke ilawa jaraseem kash adwiyaat ka chidkao bhi kiya ja raha hai.