Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadSelaab se mutasirah afraad ko raqam ka SMS masool lekin bank mein...

Selaab se mutasirah afraad ko raqam ka SMS masool lekin bank mein raqam nahi

Hyderabad: Selaab se mutasirah afraad ko Greater Hyderabad municipal corporation (GHMC) ki janib se paighamaat masool ho rahay hain ke jis mein ittila di jarahi hai ke 10,000 rupay ki imdadi raqam unke bank khaton mein jama kardi gayi hai lekin mutasirah afraad yeh jaan kar heran reh gaye ke unke bank mein abhi tak koi raqam jama nahi hui hai. Jab se GHMC commissionaire ke naam se paighamaat jari kiye gaye hain woh GHMC ke daftar ke chakkar kaat rahay hain.

Intikhabaat se qabal reyasti hukoomat ne mutasireen komtla kiya gaya tha ke woh imdadi raqam 7 decemeber se awam ke bank khaton mein jama kardeygi lekin unke bank khaton mein raqam jama honay ke asaar nahi. Rozana kam az kam 15 se 20 afraad head office pahonch rahay hain aur shikayat kar rahay hain ke unke bank account mein raqam jama nahi hui hai lekin GHMC ke ohdedar munasib jawab nahi day rahay hain. Yahan tak ke security guards daftar ke andar aisay afraad ko aala hukkaam se mulaqaat ki ijazat nahi day rahay hain. Mayoos selaab mutasireen khaali haath ghar lout rahay hain. Hazaron selaab mutasireen ko aisay paighamaat masool hue hain jis mein raqam bank mein jama karne ki ittila di jarahi hai.

Selaab mutasireen guzishta chaar dinon se GHMC se rabita kar rahay hain kyunkay inhen? mee seva marakaz ya GHMC zonal ke dafatir se munasib jawabaat nahi mil rahay hain. Mutasireen mein se ek imdaad ke liye GHMC ohdedar ke paon par gir gaya lekin faida nahi hua. Selaab se mutasirah aur mayoos afraad apni barhami ka izhaar kar rahay hain kyunkay inhen GHMC se dhoka dahi ka ehsas ho raha hai.