Sunday, May 5, 2024
HomeHyderabadSelaab se mutasirah afraad ki imdadi raqam ki taqseem ke liye koi...

Selaab se mutasirah afraad ki imdadi raqam ki taqseem ke liye koi qawaid nahi

Hyderabad : Ab jab ke greater hyderabad municipal corporation ( GHMC ) shehar mein selaab se mutasirah afraad mein imdadi raqam taqseem kar rahi hai lekin RTI ke ek sawal ne inkishaaf kiya hai ke faida uthane walon ke intikhab ke liye koi miyaar mojood nahi hai.

RTI darkhwast dahinda ne GHMC se kaha ke woh rehnuma khutoot ya miyaar ke baray mein maloomat fraham kere jiski bunyaad par mustafeed afraad ki shanakht ki jarahi hai. GHMC ke chief financial advisors ne is sawal ka jawab diya ke iske mutaliq daftar mein koi maloomat dastyab nahi hai. Ek aur sawal ke jawab mein jo shehar mein selaab se mutasirah afraad ki shanakht ke baray mein kisi surway, takhminay ya it-tila-aat ki tafseelaat ke mutaliq kiya gaya to iska jawab dobarah wohi Malaika is daftar mein koi maloomat dastyab nahi hai.

Yeh bhi bataya gaya ke selaab mein apne lawahiqeen se mahroom honay walay 30 afraad ke lawahiqeen ko har ek ko 5 laakh rupiye ka cheque faraham kiya gaya hai. GTMC bhi RTI ke istafsaar ke mutabiq selaab se mutasirah afraad se mutaliq zone, Circle aur ward waar break up fraham nahi karsaka. Taham jawab mein bataya gaya ke darkhwast guzaar ko maloomat fraham karne ke liye GHMC ke deputy commissioners ko yeh sawal bhej diya gaya hai.

Yaad rahay ke haliya dinon Hyderabad apni taqreeban 100 sala tareekh ka ek bad tareen selaab dekha hai jis ne Hyderabad ke kayi ilaqoun ko dubo diya. Saelaab ke baad hukoomat ne rahat kaari ke iqdamaat karte hue har ghar ko 10 hazaar rupaye maali imdaad fraham ki lekin is imdaad mein bad-unwani, raqam asal mustahiqin tak nah pohanchanay, Darmiyani afrad ki janib se 10 ki bajaye 5 hazaar dainay, corporators aur muqami siyasi qaideen ke qareebi afraad ko raqam dainay aur deegar ko nazar andaaz karne ke alawa kayi ek be qaigiyan samnay aayi hain.