Hyderabad: Selaab soorat-e-haal se Hyderabad ku kayi ek masail ka saamna hai jis mein roti, Kapda aur makaan ke ilawa peenay ke pani ki dasteyabi aur selabi pani ki mojoodgi se bimarion ke phoot padney ka khadsha bhi sare fehrist masail mein shaamil hai.
Agarchay sehat aur shehri hukkaam ne Hyderabad ke ilaqon mein selaab ke nateejay mein awam ko pani se peda honay wali bimarion ke mumkina phelao ke baray mein mutnabba kiya hai lekin aisa lagta hai ke un ke intebahaat qadray deer se aaye. Kyunkay baarisho ke nateeje mein logon ki sehat par makanaat ke selaab ke nataij pehlay hi zahir ho rahay hain. Shehar ke mutadid ilaqon mein gandagi hai aur mutadid ilaqon mein pani jama hai jabkay kayi ilaqay zair aabb hain aur un mutasera ilaqon mein survey kiye jane ke baad lag bhag 70 feesad afraad ko Fungal Infection ki shikayat hai, Jis ki wajah se kharish aur deegar alamaat zahir horahee hai.
Hyderabad mein Helping Hand Fundation ek NGO hai aur is ke zareya kiye gaye survey ke mutabiq, Taqreeban 20 feesad logon ne ishaal ki shikayat ki hai aur survey mein shaamil 10 afraad ko bukhaar, Nazla aur khansi hai. Ghar ghar kiye jane walay survey mein mutasirah ilaqon mein online mushawarat aur duwaein ghar tak pahunchana imdaad mein shaamil hai. Mazkoorah baala nataij Hashimabad, Farooq Nagar aur Fatima Nagar mein fallak numa division ke tehat 150 makanaat aur ek imdadi Camp ka dora karne ke baad haasil kiye hai gayi jahan NGO ne duwaein pohanchayen hain.
Bohat se ilaqon mein pani kam hochuka hai lekin is ki wajah se logon ko baher niklana aur tibbi aur sehat ki dekh bhaal ki khidmaat tak rasai mushkil hochuki hai. Selaab ki wajah se Hyderabadi awam zehni pareshaniyon mein mubtala hain kyunkay log sadme aur shadeed pareshani ki haalat mein hain kyunkay aas paas ki har cheez buri terhan kharab ya tabah hochuki hai. Phir bhi log gharon se baher nahi jana chahtay hain. Kyunkay un ka maanna hai ke woh raah faraar ikhtiyar karne ke bajaye gandagi ko saaf karne aur zindgi ki nai shuruvaat karne ko tarjeeh day rahay hain. Ghair sarkari tanzeem ke mutalay ke mutabiq awam kayi ilaqon mein sehat ki khidmaat ki farahmi ki darkhwast kar rahay hain.
Helping Hand Fundation ke Mujtaba Husan Askari ne kaha hum ne shehar mein haliya selaab se mutasirah logon ke liye dawaiyon ki ek Tele Medicine Helpline aur Door To Door farahmi shuru ki. Jinhen pani se peda honay wali bimarion ka khatrah hai. Hamaray sehat ki dekh bhaal karne walay karkun bukhaar ki kat, Bukhaar ki nigrani ke form aur dawayyan le kar jarahay hain aur shehar ke aabi tabah haal ilaqon mein bemaar bachon aur badon ki jaanch ke liye har ghar pohnchain ge. Hamari team ne un ilaqon mein shaoor baydaari ka kaam shuru kiya hai. Dr ghar ghar ja rahay hain jabkay team gandagi ko saaf karne aur jaraseem kash bleaching powder chidkanay mein madad kar rahi hai.