Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadSelaab ke pani ki nikasi, naalon ki marammati kamon mein taizi

Selaab ke pani ki nikasi, naalon ki marammati kamon mein taizi

Hyderabad: Agarchay qadray takheer se lekin shehar mein selaab ke pani ki nikasi ( SWD ) par kamon mein ab taizi aarahi hai jabkay municipal corporation ne yahan SWD net work ke taqreeban 70 kilometer ki marammat mukammal ki. municipal corporation ne kuch naalon ki nishandahi ki hai aur shehar mein 472 naalon ke kamon ke liye 298.34 crore rupiye ki intizami budget manzoori ke liye reyasti hukoomat se rujoo kiya tha.

Guzashta September mein reyasti hukoomat ne municipal corporation ko yeh kaam jald se jald mukammal karne ki hidaayat di thi. Is iqdaam ke tehat municipal corporation  6 zones mein mukhtalif ilaqon mein box drain ko dobarah bananay aur marammat ke kamon anjaam day rahi hai.

Ziyada tar naala jo do meter se bhi kam chodey hain, ghunjaan abad ilaqon mein waqay hain unko pehlay mukammal kya ja raha hai. Shehri tanzeem ko Hidayat jari di gayeen ke woh un kamon aur deegar kamon ko anjaam day kar kisi na-khushgawaar waqeat se bachney ke liye tamam ahteyati tadabeer ikhtiyar karen.

Naalon mein jo 2 meter se ziyada chauda hain aur jahan cupping ke kamon par amal-dar-aamad mumkin nahi tha wahan corporation ko hidaayat di gayi ke woh national green tribunal ki hidayat nama aur Supreme Court ke ehkamaat ke mutabiq baar laganay ke kamon ko anjaam den.

Is iqdaam ke tehat GHMC taqreeban 300 kilometer ke faaslay per cupping aur deegar kamon ko shuru karne par kaam kar raha hai. GHMC ke ek ohdedar ne kaha ke abhi tak taqreeban 70 kilometer par muheet kaam mukammal ho chukay hain aur kamon ko taiz karne aur jald se jald mukammal karne ke liye tamam iqdamaat uthaye jarahay hain.

Darin asna shehar mein selaab se bachney ke liye tufaan ke pani ki nikasi ke mojooda net work ko mustahkam karne aur naye nizaam qaim karne ke iqdamaat kiye jarahay hain. GHMC ne ilaqay ki SWD dhalwan, barish ki wajah se pani ke bahao ki shiddat aur deegar awamil par tehqeeq karne ke liye ek committee tashkeel di hai.

Hukkaam ne kaha hai ke agarchay ventas consultancy aur curicsular committee ki reports dastyab hain lekin woh bohat puranay hain aur ilaqon ki abadi mein bohat ziyada tabdeeli aayi hai. Mojooda mutalay mein zone ke mukhtalif ilaqon mein SWD ki jame designing ke baray mein reports tayyar karna hoga jis mein sri Lingampally aur deegar ilaqay sha