Dubai: Dubai mein mehakma sahet ke hukkaam ne kaha hai ke wo Coronavirus se sahet yab honay walay mareezoun ke khoon se Plasma le kar deegar mareezoun ka ilaaj karenge. Mehakma sahet ke hukkaam ne ye elaan is waqt kiya jab UAE ne Coronavirus ke shikaar afraad ke liye is tareeqa ilaaj ke ikhtiyar karne ki manzoori di. Tafseelaat ke mutabiq ye tareeqa ilaaj jo Convalescent plasma Therapy kehlata hai, Isi haftay kisi bhi waqt shuru kiya jaye ga. Dubai Health Coopration ke Chief Executive Officer Dr Younis Kazem ne kaha hai ke mehakma sahet ne Dubai ke dawakhanoun mein is tareeqa ilaaj ke Protocol muta-arif kara diye hain taakay Virus ki rokk thaam ki ja sakay. Unhoun ne kaha ke Dubai mehakma sahet ke maahir Doctors ne Plasma Therapy ke liye aalmi miyaar ke mutabiq tareeqakar ikhtiyar kiya hai.
Dr Kazim ne mazeed kaha hai ke is hawalay se bhi qawaid o zawabit waza kar liye gaye hain ke kon Plasmaatiyah kar sakta hai aur kis mareez ko is tareeqa ilaaj ki zaroorat hai. Unhoun ne bataya ke Dubai mehakma sahet ne ye iqdaam aalmi Medical nataij ki bunyaad par uthaya jin mein ye baat samnay aayi hai ke Virus se sahet yab honay walay afraad ke khoon mein Corona ke khilaaf Anti Body peda hotay hain jo is Virus ko roktay hain.
Doctors ka maanna hai ke Corona se mukammal sahet yab honay walay mareezoun ke khoon Virus ke khilaaf ladnay walay Anti Body ziyada tadaad mein hotay hain. Jab Virus ke shikaar mareezoun ke jism mein ye Plasma shaamil kiya jata hai to wo corona ke Gems ki shanakht kar ke is par hamla karta hai. Dr Kazim ke bamujab Americi mehakma khoraak o sahet ne inkishaaf kiya hai ke Plasma Therapy ke tareeqa ilaaj se ye baat Sciencin tor par saabit huvi ke is terhan mareezoun ke sahet yab honay ki raftaar mein taizi aayi aur un ko dawakhanoun mein bohat kam din rakhna pada. –YTN STAFF