Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaSecunderabad Zone mein badi Companies khangi Trains chalanay ki khwahan

Secunderabad Zone mein badi Companies khangi Trains chalanay ki khwahan

Hyderabad: Khangi Trains jo kay Rail khidmaat mein badi tabdeeli laane wali hain is zimn mein shehar ke mukhtalif ilaqon mein khangi Trains ko chalanay ke liye mutadid companies agay ayen hain. South Central Railway ( SCR ) ke mutabiq Secunderabad Cluster se 10 farms ne khangi Train ki khidmaat mein dilchaspi zahir ki hai. Majmoi tor par mulk bhar mein khangi kamon ke liye 12 Cluster ke liye public sector unit samait 15 darkhwast dahinda farms se 120 darkhwasten masool hui hain.

Jin 15 farms ki janib se darkhwasten di gayi hain un mein Megha Engineering and Infrastructures Ltd, BHEL, L&T Infrastructures Development Projects Ltd aur GMR Highways Ltd qabil zikar hain. Railway ne mazkoorah zone se 11 raastoon ko hatmi shakal day di hai jis par khangi Trains chalaye jayen gi. Un mein rozana ke asaas par Lingampally. Tirupati, Cherupalli. Chennai, Guntur, Secunderabad. Gowahati ke liye hafta waar 2, Cherupalli. Varanasi hafta waar aur Cherupalli hafta waar hai.

Railway ne Lingampally route par name taiz raftaar khangi Trains chalanay ke liye bhi mansoobah banaya hai. Is mein Rajdhani Express, Containment Express, Shatabdi Express aur Duranto Express ki tarz par jaded sahulat ki Trains bhi mojood hain. Ek ohdedar ne kaha hai khangi farms ka intikhab 2 marhalay ke musabiqati boli amal ke zariye kiya jaye ga. Unhoun ne mazeed kaha ke is amal mein taizi layi jarahi hai aur aglay Feb tak tamam Groups ko moahida diya jaye ga.

Khangi Trains ka taaruf

Khangi Companies Trains ki sar garmion ki nigrani karen gi jaisay Ticket Charges, Musafiron ke liye sahuliyaat aur Coaches ki dekh bhaal jabkay Railway amlay aur hifazati iqdamaat ki nigrani kere gi. Khangi Trains mein WiFi, Jadeed Coach aur bethnay, Saaf Washrooms aur acha khana ke sath chalaya jaye ga. Engines ko Railway se liya jaye ga jabkay khangi companiyon ko apne Coach rakhnay ki azadi hogi.

Operating Trains, Partriyon, Signaling aur mutaliqa afradi qowat mein Railway Infrastructure ke istemaal ke liye khangi companies se fi kilometer ki bunyaad par Railway ko muawzay wusool hon ge. Coaches ki tayari ke liye Railway se khidmaat haasil ki ja sakti hain ya beron mulk tayyar kharidi ja sakti hain. Ohdedaron ne bataya ke Stations par ruknay aur Stop ki tadaad is firm ki pasand hogi.