Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadSecunderabad Railway station par Battery se chalne wali cars mutarif

Secunderabad Railway station par Battery se chalne wali cars mutarif

Hyderabad : Awaami muqamat par Battery se chalne wali gadiyoun ki maqboliat mein rozbaroz izafah ho raha hai kyun kay yeh mahol dost honay ke ilawa musafireen aur awam ke liye sahoolat faraham karne ka aasan zariya hai lehaza ab south central railway (S.C.R) ne Secunderabad railway station par Battery se chalne wali cars ki khidmaat ka aaghaz kiya hai.

Secunderabad railway station junoobi Hindustan ka ek masroof tareen railway station hai jahan awam ki bheed har waqt moujood rehti hai, is masroof tareen railway station par awam ko khaas kar buzurug, haamla khawateen aur bachoun ko apni matlooba train tak pounchanay mein dushwariyan hoti hain lehaza hukkaam ne Battery se chalne wali cars ki khidmaat faraham ki hain taakay musafireen ko apni matlooba rail tak pohanchnay mein aasani ho sakay.

Battery se chalne wali is car se istifada ke liye fee musafir nah sirf 45 rupay faraham karne honge balkay gaadi mein pehlay hi apni nishist ko book karwane ke liye faraham kardah mobile number par cakl karna hoga jo 8827331111 hai.

Secunderabad railway station par chalne wali yeh Battery ki car mein beik waqt 6 musafir safr kar sakte hain aur is ki chath par saz-wo-samaan rakhnay ke liye ziyada jagah faraham ki gayi hai. Battery se chalne wali yeh car mahol dost honay ke alawa is mein khud bakhud roknay ki salahiyat bhi faraham ki gayi hai kyunkay agar electrical break nakaam ho jatay hain to hungami halaat mein inhen hand break ke zariye bhi roka ja sakta hai.

Battery se chalne wali un cars mein hifazati intizamaa ko bhi aala miyaar ke banaye gaye hain. sab se pehlay un cars ko tarbiyat Yafta driveroun ki janib se chalaya ja raha hai jo ke railway ke aala auhdedaroun ke sath musalsal raabtey mein rehtay hain. alawa azeen is mein cameroun ko nasb karne ke alawa GPS nizaam bhi rakha gaya hai taakay musafireen ki security ko aala miyaar tak pohanchaya ja sake.

 

 

(Y THIS NEWS STAFF)